parastar-e-mohabbat ko KHayal-e-ma-siwa kyun ho
parastār-e-mohabbat ko ḳhayāl-e-mā-sivā kyuuñ ho
ḳhushī bhī tere milne kī sharīk mudda.ā kyuuñ ho
tirī pahlī nazar kī hashr-sāmānī musallam hai
magar dil ke fasāna kī yahīñ se ibtidā kyuuñ ho
fazā meñ gūñjtī haiñ saiñkaḌoñ ġhamnāk āvāzeñ
jise tū sun rahā hai mere dil kī hī sadā kyuuñ ho
tire jalvoñ kī hairat-āfrīnī ai ma.āz-allāh
nigāhoñ se jo dekhā hai zabānoñ se adā kyuuñ ho
jo tire iltifāt-e-ḳhās kī 'ādat se vāqif hai
use be-jā terī kam-nigāhī kā gilā kyuuñ ho
jise ik ik qadam par fikr-e-mustaqbil satātī hai
vo dīvāna havas kā tere ġham meñ mubtalā kyuuñ ho
mohabbat ruuh ban kar saare aalam meñ samā.ī hai
to phir duniyā kā 'māhir' ek zarra bhī fanā kyuuñ ho
parastar-e-mohabbat ko KHayal-e-ma-siwa kyun ho
KHushi bhi tere milne ki sharik muddaa kyun ho
teri pahli nazar ki hashr-samani musallam hai
magar dil ke fasana ki yahin se ibtida kyun ho
faza mein gunjti hain sainkaDon ghamnak aawazen
jise tu sun raha hai mere dil ki hi sada kyun ho
tere jalwon ki hairat-afrini ai maaz-allah
nigahon se jo dekha hai zabanon se ada kyun ho
jo tere iltifat-e-KHas ki 'adat se waqif hai
use be-ja teri kam-nigahi ka gila kyun ho
jise ek ek qadam par fikr-e-mustaqbil satati hai
wo diwana hawas ka tere gham mein mubtala kyun ho
mohabbat ruh ban kar sare aalam mein samai hai
to phir duniya ka 'mahir' ek zarra bhi fana kyun ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.