hijr mein bimar-e-gham sahne ke qabil ho gaya
hijr meñ bīmār-e-ġham sahne ke qābil ho gayā
mudda.ā-e-shauq be-tābī se hāsil ho gayā
dard ko bhī dard kā ehsās hāsil ho gayā
muzda ai qātil ki phir paidā nayā dil ho gayā
jab khulīñ āñkheñ to dekhā vo sar-e-bālīñ na the
hosh aanā thā ki phir bīmār ġhāfil ho gayā
is zubūñ hālat pe bhī josh-e-mohabbat kam nahīñ
vo to qātil the hī merā dil bhī qātil ho gayā
hashr ho jaatā hai bapā un ke ġhurūr-e-husn se
vo to ye kahiye ki ā.īna muqābil ho gayā
maiñ ne jab kahā tūfān-e-ġham meñ yā-ḳhudā
mauj kashtī ban ga.ī girdāb sāhil ho gayā
hijr mein bimar-e-gham sahne ke qabil ho gaya
muddaa-e-shauq be-tabi se hasil ho gaya
dard ko bhi dard ka ehsas hasil ho gaya
muzda ai qatil ki phir paida naya dil ho gaya
jab khulin aankhen to dekha wo sar-e-baalin na the
hosh aana tha ki phir bimar ghafil ho gaya
is zubun haalat pe bhi josh-e-mohabbat kam nahin
wo to qatil the hi mera dil bhi qatil ho gaya
hashr ho jata hai bapa un ke ghurur-e-husn se
wo to ye kahiye ki aaina muqabil ho gaya
main ne jab kaha tufan-e-gham mein ya-KHuda
mauj kashti ban gai girdab sahil ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.