tere sajde mein humne apni peshani jahan rakh di
tire sajde meñ ham ne apnī peshānī jahāñ rakh dī
tajallī ne tirī vaañ vus.at-e-kaun-o-makāñ rakh dī
ḳhabar hai tujh ko ai bād-e-bahārī dard-mandoñ kī
guloñ ne piyās kī shiddat se kāñToñ par zabāñ rakh dī
chaman meñ mere hī tinkoñ pe har bijlī kī nazreñ haiñ
mirī qismat ki phir maiñ ne binā-e-āshiyāñ rakh dī
ye vīrāna ye sannāTā ye vahshat-ḳhez ḳhāmoshī
azīzoñ ne mirī mayyat ko kyā samjhā kahāñ rakh dī
tere sajde mein hum ne apni peshani jahan rakh di
tajalli ne teri wan wusat-e-kaun-o-makan rakh di
KHabar hai tujh ko ai baad-e-bahaari dard-mandon ki
gulon ne piyas ki shiddat se kanTon par zaban rakh di
chaman mein mere hi tinkon pe har bijli ki nazren hain
meri qismat ki phir main ne bina-e-ashiyan rakh di
ye virana ye sannaTa ye wahshat-KHez KHamoshi
azizon ne meri mayyat ko kya samjha kahan rakh di
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.