fursat-e-aghi bhi di lazzat-e-be-KHudi bhi di
fursat-e-āghī bhī dī lazzat-e-be-ḳhudī bhī dī
maut ke saath saath hī aap ne zindagī bhī dī
soz-e-darūñ atā kiyā jur.at-e-āshiqī bhī dī
un kī nigāh-e-nāz ne ġham hī nahīñ ḳhushī bhī dī
us ne niyāz-o-nāz ke sāya-e-varq ulaT diye
dast-e-ḳhalīl bhī diyā san.at-e-āzrī bhī dī
phir bhī mirī nigāh meñ dūnoñ jahāñ siyāh nahīñ
merī shab-e-firāq ko chāñd ne raushnī bhī dī
aap ne ik nigāh meñ sab ko nihāl kar diyā
phuul ko muskurāhaTeñ mauj ko be-kalī bhī dī
chhīn lo mujh se dosto tāqat-e-'arz-e-mudda.ā
us ne mizāj-e-yār ko dāvat-e-barhamī bhī dī
dām-e-ta.ayyunāt meñ dīda-o-dil ulajh ga.e
soz-e-yaqīñ ke saath saath lazzat-e-kāfrī bhī dī
māhir'-e-dil-fagār par aap kī ye navāzisheñ
fitrat-e-āshiqī bhī dī daulat-e-shā.irī bhī dī
fursat-e-aghi bhi di lazzat-e-be-KHudi bhi di
maut ke sath sath hi aap ne zindagi bhi di
soz-e-darun ata kiya jurat-e-ashiqi bhi di
un ki nigah-e-naz ne gham hi nahin KHushi bhi di
us ne niyaz-o-naz ke saya-e-warq ulaT diye
dast-e-KHalil bhi diya sanat-e-azri bhi di
phir bhi meri nigah mein dunon jahan siyah nahin
meri shab-e-firaq ko chand ne raushni bhi di
aap ne ek nigah mein sab ko nihaal kar diya
phul ko muskurahaTen mauj ko be-kali bhi di
chhin lo mujh se dosto taqat-e-'arz-e-muddaa
us ne mizaj-e-yar ko dawat-e-barhami bhi di
dam-e-tayyunat mein dida-o-dil ulajh gae
soz-e-yaqin ke sath sath lazzat-e-kafri bhi di
mahir'-e-dil-fagar par aap ki ye nawazishen
fitrat-e-ashiqi bhi di daulat-e-shairi bhi di
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.