allah re hausla nigh-e-be-qarar ka
allāh re hausla nigh-e-be-qarār kā
nazzāra aur jumbish-e-mizhgān-e-yār kā
shikvā nasīb kā na gilā husn-e-yār kā
saarā qusūr hai dil-e-be-iḳhtiyār kā
rutba to dekhiye nigah-e-sharmsār kā
ruḳh hai idhar hī rahmat-e-parvardigār kā
ai jabar-e-dost rahm ki ab tāb-e-ġham nahīñ
hotā hai raaz faash mire iḳhtiyār kā
ra.anā.ī jahāñ kī haqīqat hai is qadar
dhuñdhlā sā ek aks hai ruḳhsār-e-yār kā
'māhir' hai bazm-e-dahr pareshāniyoñ kā ghar
shikvā fuzūl hai sitam rozgār kā
allah re hausla nigh-e-be-qarar ka
nazzara aur jumbish-e-mizhgan-e-yar ka
shikwa nasib ka na gila husn-e-yar ka
sara qusur hai dil-e-be-iKHtiyar ka
rutba to dekhiye nigah-e-sharmsar ka
ruKH hai idhar hi rahmat-e-parwardigar ka
ai jabar-e-dost rahm ki ab tab-e-gham nahin
hota hai raaz fash mere iKHtiyar ka
ranai jahan ki haqiqat hai is qadar
dhundhla sa ek aks hai ruKHsar-e-yar ka
'mahir' hai bazm-e-dahr pareshaniyon ka ghar
shikwa fuzul hai sitam rozgar ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.