bimar-e-shab-e-gham ki allah re tawanai
bīmār-e-shab-e-ġham kī allāh re tavānā.ī
ik huuk uThī dil se aur arsh ko chhū aa.ī
kuchh tujh ko ḳhabar bhī hai au mahv-e-ḳhud-ārā.ī
āñKheñ hī nahīñ tanhā dil bhī tamāshā.ī
har chiiz mohabbat meñ be-tāb nazar aa.ī
titlī bhī āvāra shabnam bhī hai harjā.ī
jab uTh na sakā us se jor-e-ġham-e-tanhā.ī
bū phuul ke siina se ghabrā ke nikal aa.ī
is ishq-o-mohabbat ke dastūr ko kyā kahiye
jiinā bhī rusvā.ī marnā bhī hai rusvā.ī
kyā zulam hai ye duniyā qātil use kahtī hai
jo maut ke parde meñ karatā hai masīhā.ī
Duubī huī nabzeñ kyuuñ ubhrī chalī aatī haiñ
ik bhūlne vaale ko shāyad mirī yaad aa.ī
saaqī kī nigāhoñ kā andāz are tauba
mai jaam meñ letī hai añgḌā.ī pe añgḌā.ī
'māhir' mujhe matlab kyā ehsās-e-masarrat se
aane ko mire lab par sau baar hañsī aa.ī
bimar-e-shab-e-gham ki allah re tawanai
ek huk uThi dil se aur arsh ko chhu aai
kuchh tujh ko KHabar bhi hai au mahw-e-KHud-arai
aanKhen hi nahin tanha dil bhi tamashai
har chiz mohabbat mein be-tab nazar aai
titli bhi aawara shabnam bhi hai harjai
jab uTh na saka us se jor-e-gham-e-tanhai
bu phul ke sina se ghabra ke nikal aai
is ishq-o-mohabbat ke dastur ko kya kahiye
jina bhi ruswai marna bhi hai ruswai
kya zulam hai ye duniya qatil use kahti hai
jo maut ke parde mein karata hai masihai
Dubi hui nabzen kyun ubhri chali aati hain
ek bhulne wale ko shayad meri yaad aai
saqi ki nigahon ka andaz are tauba
mai jam mein leti hai angDai pe angDai
'mahir' mujhe matlab kya ehsas-e-masarrat se
aane ko mere lab par sau bar hansi aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.