unki jaanib sabhi paigham koi lai hai
un kī jānib sabhī paiġhām koī laa.ī hai
yā nasīm-e-saharī yuuñ hī chalī aa.ī hai
nau giraftār-e-mohabbat pe ḳhudā raham kare
aaj us shaḳhs kī pahlī shab-e-tanhā.ī hai
haaye vo log jo tūfāñ kā gilā karte haiñ
un kī kashtī kabhī sāhil se bhī Takrā.ī hai
uñgliyāñ uThtī hai kis-kis ke salām aate haiñ
'ishq ik qāfila-e-shorat-o-rusvā.ī hai
aap aur mujh pe tavajjoh kī nazar farmā.eñ
ye tasavvur kī mere hāshiya raa.ī hai
ai ajal naza.a kī fursat ko baḌhā aur baḌhā
yaad kar luuñ merī kis-kis se shanāsā.ī hai
shauq tanhā hai magar us ke hazāroñ 'ālam
husn ke paas faqat anjuman-ārā.ī hai
ye jahāñ husn-e-mashiyyat kā hai partav māhir
aadmī sirf manāzir kā tamāshā.ī hai
un ki jaanib sabhi paigham koi lai hai
ya nasim-e-sahari yun hi chali aai hai
nau giraftar-e-mohabbat pe KHuda raham kare
aaj us shaKHs ki pahli shab-e-tanhai hai
haye wo log jo tufan ka gila karte hain
un ki kashti kabhi sahil se bhi Takrai hai
ungliyan uThti hai kis-kis ke salam aate hain
'ishq ek qafila-e-shorat-o-ruswai hai
aap aur mujh pe tawajjoh ki nazar farmaen
ye tasawwur ki mere hashiya rai hai
ai ajal naza ki fursat ko baDha aur baDha
yaad kar lun meri kis-kis se shanasai hai
shauq tanha hai magar us ke hazaron 'alam
husn ke pas faqat anjuman-arai hai
ye jahan husn-e-mashiyyat ka hai partaw mahir
aadmi sirf manazir ka tamashai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.