wo raaten yaad aati hai wo raaten yaad aati hai
vo rāteñ jo ki thī mauzūñ ulfat kī kahānī kā
vo rāteñ jin pe saaya thā nishāt-o-shādmānī kā
vo rāteñ jin pe dhokā thā hasīnoñ kī javānī kā
vo rāteñ jin ko kah sakte haiñ hāsil zindagānī kā
vo rāteñ yaad aatī hai vo rāteñ yaad aatī hai
vo rāteñ jin ko mere shauq-e-behad ne ubhārā thā
vo rāteñ jin meñ un kā jaur pinhā bhī gavārā thā
vo rāteñ jin ke pech-o-ḳham meñ ummīdoñ kā daarā thā
vo rāteñ jin ko un kī muskurāhaT ne sañvārā thā
vo rāteñ yaad aatī hai vo rāteñ yaad aatī hai
vo kuchh betābiyāñ sī jalva gar zulf pareshāñ par
ki jo baarī hai merī saikḌoñ shab.hā-e-hijrāñ par
navāzish.hā-e-be-pāyāñ par merī duniyā-e-vīrāñ par
vo un kā muskurā kar jhūmnā sub.h-e-bahārāñ par
vo rāteñ yaad aatī hai vo rāteñ yaad aatī hai
havā phūloñ ko chhū kar aa rahī thī marġh-zāroñ se
vo un kī tābisheñ 'āriz kā Takrānā sitāroñ se
vo un kā gungunā kar khelnā phūloñ ke hāroñ se
vo mere she'r par tanqīd farmānā ishāroñ se
vo rāteñ yaad aatī hai vo rāteñ yaad aatī hai
havā.eñ sansanātī thī sitāre jagmagāte the
vo paiham gungunāte the musalsal muskurāte the
vo mujh ko mast-mast āñkhoñ se paimāne pilāte the
nigāhoñ ko merī ādāb-e-mai-e-noshī sikhāte the
vo rāteñ yaad aatī hai vo rāteñ yaad aatī hai
wo raaten jo ki thi mauzun ulfat ki kahani ka
wo raaten jin pe saya tha nishat-o-shadmani ka
wo raaten jin pe dhoka tha hasinon ki jawani ka
wo raaten jin ko kah sakte hain hasil zindagani ka
wo raaten yaad aati hai wo raaten yaad aati hai
wo raaten jin ko mere shauq-e-behad ne ubhaara tha
wo raaten jin mein un ka jaur pinha bhi gawara tha
wo raaten jin ke pech-o-KHam mein ummidon ka dara tha
wo raaten jin ko un ki muskurahaT ne sanwara tha
wo raaten yaad aatī hai wo raaten yaad aatī hai
wo kuchh betabiyan si jalwa gar zulf pareshan par
ki jo bari hai meri saikDon shabha-e-hijran par
nawazishha-e-be-payan par meri duniya-e-viran par
wo un ka muskura kar jhumna subh-e-bahaaran par
wo raaten yaad aati hai wo raaten yaad aati hai
hawa phulon ko chhu kar aa rahi thi margh-zaron se
wo un ki tabishen 'ariz ka Takrana sitaron se
wo un ka gunguna kar khelna phulon ke haaron se
wo mere she'r par tanqid farmana ishaaron se
wo raaten yaad aati hai wo raaten yaad aati hai
hawaen sansanati thi sitare jagmagate the
wo paiham gungunate the musalsal muskuraate the
wo mujh ko mast-mast aankhon se paimane pilate the
nigahon ko meri aadab-e-mai-e-noshi sikhate the
wo raaten yaad aati hai wo raaten yaad aati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.