mere dil ki har ek rag KHun-chakan malum hoti hai
mire dil kī har ik rag ḳhūñ-chakāñ ma.alūm hotī hai
tamannāoñ kī duniyā gulistāñ ma.alūm hotī hai
qiyāmat aa na jaa.e raat ke au jāgne vaale
tirī har saañs labrez-e-fuġhāñ ma.alūm hotī hai
bhaḌak ai sham'-e-kushta aur nigāh-e-justujū ban jā
mirī turbat kisī ko be-nishāñ ma.alūm hotī hai
fuġhāñ TuuTe hue dil kī jise tum khel samjhe ho
mujhe vābasta-e-nazm-e-jahāñ ma.alūm hotī hai
jo sun lete to kyā thā muḳhtasar sī sharh-e-barbādī
magar tum ko to vo ik dāstāñ ma.alūm hotī hai
mirī mayyat pe vo merī vafā.eñ yaad karte haiñ
ḳhamoshī bhī mirī jādū-bayāñ ma.alūm hotī hai
tabassum-rez haiñ kaliyāñ kHayābān-e-fasāhat kī
zamīn-e-she'r 'māhir' gul-fashāñ ma.alūm hotī hai
mere dil ki har ek rag KHun-chakan malum hoti hai
tamannaon ki duniya gulistan malum hoti hai
qiyamat aa na jae raat ke au jagne wale
teri har sans labrez-e-fughan malum hoti hai
bhaDak ai sham'-e-kushta aur nigah-e-justuju ban ja
meri turbat kisi ko be-nishan malum hoti hai
fughan TuTe hue dil ki jise tum khel samjhe ho
mujhe wabasta-e-nazm-e-jahan malum hoti hai
jo sun lete to kya tha muKHtasar si sharh-e-barbaadi
magar tum ko to wo ek dastan malum hoti hai
meri mayyat pe wo meri wafaen yaad karte hain
KHamoshi bhi meri jadu-bayan malum hoti hai
tabassum-rez hain kaliyan kHayaban-e-fasahat ki
zamin-e-she'r 'mahir' gul-fashan malum hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.