Sufinama

nishat-o-kaif ka aalam zamin se aasman tak hai

Mahirul Qadri

nishat-o-kaif ka aalam zamin se aasman tak hai

Mahirul Qadri

MORE BYMahirul Qadri

    nishāt-o-kaif a.alam zamīñ se āsmāñ tak hai

    ḳhudā ma.alūm tere husn duniyā kahāñ tak hai

    mohabbat ko ḳhayāl-e-mā-sivā chhū bhī nahīñ saktā

    havas jāda-paimā.ī faqat sūd-o-ziyāñ tak hai

    yahī tūfāñ mujhe āsūda-e-sāhil banā.egā

    talātum merī kashtī shikast-e-bādbāñ tak hai

    vo ik jazba havas hai mohabbat ho nahīñ saktī

    ta.alluq sirf jis ittisāl-e-jism-o-jāñ tak hai

    tumhār husn se qaus-e-quzah rañg-ārā.ī

    tumhār nuur se raushan jabīn kahkashāñ tak hai

    chalo ai mai-gusāro mai-kashī vaqt aa pahuñchā

    muġhannī hai ghaTā chhā.ī hai jaam arġhavāñ tak hai

    koī bichhḌe huoñ baat bhī suntā nahīñ 'māhir'

    jaras mehrbānī kārvāñ se kārvāñ tak hai

    nishat-o-kaif ka aalam zamin se aasman tak hai

    KHuda malum tere husn ki duniya kahan tak hai

    mohabbat ko KHayal-e-ma-siwa chhu bhi nahin sakta

    hawas ki jada-paimai faqat sud-o-ziyan tak hai

    yahi tufan mujhe aasuda-e-sahil banaega

    talatum meri kashti ka shikast-e-baadban tak hai

    wo ek jazba hawas ka hai mohabbat ho nahin sakti

    talluq sirf jis ka ittisal-e-jism-o-jaan tak hai

    tumhaar husn se qaus-e-quzah ki rang-arai

    tumhaar nur se raushan jabin kahkashan tak hai

    chalo ai mai-gusaro mai-kashi ka waqt aa pahuncha

    mughanni hai ghaTa chhai hai jam arghawan tak hai

    koi bichhDe huon ki baat bhi sunta nahin 'mahir'

    jaras ki mehrbani karwan se karwan tak hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now