wahi kuchh dahr mein raaz-e-nizam-e-dil samajhte hain
vahī kuchh dahr meñ rāz-e-nizām-e-dil samajhte haiñ
jo tere ishq ko kaunain kā hāsil samajhte haiñ
hameñ dair-o-haram kī samt jaane kī zarūrat kyā
ki ham ek ek zarre ko tirī manzil samajhte haiñ
mirī jānib kabhī bhūle se bhī nazreñ nahīñ uThtīñ
vo mujh ko iltifāt-e-ḳhās ke qābil samajhte haiñ
milā ham ko sila ye bahr-e-ġham se āshnā.ī kā
jise tūfāñ samajhte the use sāhil samajhte haiñ
kahāñ ye nā-tavāñ dil aur kahāñ vo jaur-e-be-pāyāñ
ye un kī mehrbānī hai jo us qābil samajhte haiñ
mohabbat par madār-e-hastī-e-kaunain hai 'māhir'
ye vo nukta hai jis ko sāhibān-e-dil samajhte haiñ
wahi kuchh dahr mein raaz-e-nizam-e-dil samajhte hain
jo tere ishq ko kaunain ka hasil samajhte hain
hamein dair-o-haram ki samt jaane ki zarurat kya
ki hum ek ek zarre ko teri manzil samajhte hain
meri jaanib kabhi bhule se bhi nazren nahin uThtin
wo mujh ko iltifat-e-KHas ke qabil samajhte hain
mila hum ko sila ye bahr-e-gham se aashnai ka
jise tufan samajhte the use sahil samajhte hain
kahan ye na-tawan dil aur kahan wo jaur-e-be-payan
ye un ki mehrbani hai jo us qabil samajhte hain
mohabbat par madar-e-hasti-e-kaunain hai 'mahir'
ye wo nukta hai jis ko sahiban-e-dil samajhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.