dekhna ye kaun be-parda numayan ho gaya
dekhnā ye kaun be-parda numāyāñ ho gayā
ek ā'lam-e-be-niyāz kufr-o-īmāñ ho gayā
aaj apne kibr par zāhid pashemāñ ho gayā
zohd ne itnī taraqqī kī ki isyāñ ho gayā
us kī bargashta nasībī par kahāñ tak roiye
vo gulistāñ jo bahār aate hī vīrāñ ho gayā
rahm kar ai muzda-e-vahm-e-musarrat rahm kar
dekhtā huuñ ġham kā shīrāza pareshāñ ho gayā
phir koī niklā hai ghar se le ke duniyā-e-shabāb
phir kisī kam-baḳht ke miTne kā sāmāñ ho gayā
khul hī jaatā ek din terī masīhā.ī kā raaz
vo to ye kahiye ki ġham kā naam darmāñ ho gayā
bahr-e-vahdat se uThī thī ek be-tābāna mauj
ālam-e-kasrat meñ jis kā naam insāñ ho gayā
Thokaroñ hī Thokaroñ meñ pā ga.e manzil ko ham
mushkiloñ hī mushkiloñ meñ kaam āsāñ ho gayā
aaj kuchh is dhun meñ chheḌā maiñ ne 'māhir' sāz-e-ishq
zarra-zarra kāk-e-hastī kā ġhazal-ḳhvāñ ho gayā
dekhna ye kaun be-parda numayan ho gaya
ek aa'lam-e-be-niyaz kufr-o-iman ho gaya
aaj apne kibr par zahid pasheman ho gaya
zohd ne itni taraqqi ki ki isyan ho gaya
us ki bargashta nasibi par kahan tak roiye
wo gulistan jo bahaar aate hi viran ho gaya
rahm kar ai muzda-e-wahm-e-musarrat rahm kar
dekhta hun gham ka shiraaza pareshan ho gaya
phir koi nikla hai ghar se le ke duniya-e-shabab
phir kisi kam-baKHt ke miTne ka saman ho gaya
khul hi jata ek din teri masihai ka raaz
wo to ye kahiye ki gham ka nam darman ho gaya
bahr-e-wahdat se uThi thi ek be-tabana mauj
aalam-e-kasrat mein jis ka nam insan ho gaya
Thokaron hi Thokaron mein pa gae manzil ko hum
mushkilon hi mushkilon mein kaam aasan ho gaya
aaj kuchh is dhun mein chheDa main ne 'mahir' saz-e-ishq
zarra-zarra kak-e-hasti ka ghazal-KHwan ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.