tujhe ek nazar dekhna chahta hun
tujhe ik nazar dekhnā chāhtā huuñ
maiñ is ke sivā aur kyā chāhtā huuñ
vafāoñ ke badle jafā chāhtā huuñ
maiñ kyā chāhtā thā maiñ kyā chāhtā huuñ
mohabbat kī phir ibtidā chāhtā huuñ
ḳhudā mujh ko samjhe maiñ kyā chāhtā huuñ
karam kī zarūrat hai mujh ko va-lekin
ba-'unvān-e-jaur-o-jafā chāhtā huuñ
masā.ib kī bārish balāoñ kī yūrish
ba-miqdār-e-sabr-o-razā chāhtā huuñ
gunāh-e-mohabbat kā mujrim huuñ mujrim
maiñ apne ka.e kī sazā chāhtā huuñ
jahāñ ik jahān-e-tajallī ho 'māhir'
mohabbat kī aisī fazā chāhtā huuñ
tujhe ek nazar dekhna chahta hun
main is ke siwa aur kya chahta hun
wafaon ke badle jafa chahta hun
main kya chahta tha main kya chahta hun
mohabbat ki phir ibtida chahta hun
KHuda mujh ko samjhe main kya chahta hun
karam ki zarurat hai mujh ko wa-lekin
ba-'unwan-e-jaur-o-jafa chahta hun
masaib ki barish balaon ki yurish
ba-miqdar-e-sabr-o-raza chahta hun
gunah-e-mohabbat ka mujrim hun mujrim
main apne kae ki saza chahta hun
jahan ek jahan-e-tajalli ho 'mahir'
mohabbat ki aisi faza chahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.