nigah-e-mast ko masruf-e-naz rahne de
nigāh-e-mast ko masrūf-e-nāz rahne de
kuchh aur roz mujhe pāk-bāz rahne de
ilāj-e-dard mire chārasāz rahne de
ki ye ḳhalish hai baḌī dil-navāz rahne de
jo faash ho na sake us ko faash karke chhoḌ
jo raaz rah na sake us ko raaz rahne de
latāfat-e-ġham-e-ulfat kā vāsta ai dost
hayāt-o-maut meñ kuchh imtiyāz rahne de
nigāh-e-yār tujhe jor-e-be-sabab kī qasam
navāzish-e-ġham-e-pinhāñ ko raaz rahne de
mire ḳhayāl ko har dam tirī zarūrat hai
tasavvurāt ko zīnat tarāz rahne de
zamāna bhar meñ koī ġhaznavī nihād nahīñ
hadīs-e-turra-e-zulf-e-eyāz rahne de
hayāt-e-gulshan-e-maġhrib tujhe mubārak ho
mujhe shahīd fazā-e-hijāz rahne de
hadīs-e-dard-e-mohabbat na kar bayāñ 'māhir'
haqīqatoñ ko asīr-e-majāz rahne de
nigah-e-mast ko masruf-e-naz rahne de
kuchh aur roz mujhe pak-baz rahne de
ilaj-e-dard mere chaarasaz rahne de
ki ye KHalish hai baDi dil-nawaz rahne de
jo fash ho na sake us ko fash karke chhoD
jo raaz rah na sake us ko raaz rahne de
latafat-e-gham-e-ulfat ka wasta ai dost
hayat-o-maut mein kuchh imtiyaz rahne de
nigah-e-yar tujhe jor-e-be-sabab ki qasam
nawazish-e-gham-e-pinhan ko raaz rahne de
mere KHayal ko har dam teri zarurat hai
tasawwuraat ko zinat taraaz rahne de
zamana bhar mein koi ghaznawi nihad nahin
hadis-e-turra-e-zulf-e-eyaz rahne de
hayat-e-gulshan-e-maghrib tujhe mubarak ho
mujhe shahid faza-e-hijaz rahne de
hadis-e-dard-e-mohabbat na kar bayan 'mahir'
haqiqaton ko asir-e-majaz rahne de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.