Font by Mehr Nastaliq Web

jhuTa wada piya mo se kar gayo ri

Mahmooda Jaan

jhuTa wada piya mo se kar gayo ri

Mahmooda Jaan

MORE BYMahmooda Jaan

    jhūTā va'ada piyā mo se kar gayo

    chaman meñ josh se bād-e-bahār chaltī hai

    kalī chaTak ke har ek shāḳh se nikaltī hai

    surāhī phirtī hai mai pyālī chaltī hai

    har ek ġhuncha ke muñh se yahī nikaltī hai

    aa ke gulshan meñ kyā gul katar gayo

    kisī ke ġham meñ huuñ lab-e-zindagī se maiñ nā-chār

    chaman bhī ho to ab āñkhoñ meñ hai guzartā ḳhaar

    ye chain lene nahīñ detā charkH-e-kaj-raftār

    ye aap ke dil meñ samāyā hai lā-chār aur nā-chār

    maiñ bhī jaatī huuñ sayyāñ jidhar gayo

    jhuTa wa'ada piya mo se kar gayo ri

    chaman mein josh se baad-e-bahaar chalti hai

    kali chaTak ke har ek shaKH se nikalti hai

    surahi phirti hai mai ki pyali chalti hai

    har ek ghuncha ke munh se yahi nikalti hai

    aa ke gulshan mein kya gul katar gayo ri

    kisi ke gham mein hun lab-e-zindagi se main na-chaar

    chaman bhi ho to ab aankhon mein hai guzarta KHar

    ye chain lene nahin deta charkH-e-kaj-raftar

    ye aap ke dil mein samaya hai la-chaar aur na-chaar

    main bhi jati hun sayyan jidhar gayo ri

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now