tawan-e-na-tawan bhi tu nawa-e-be-nawa bhi hai
tavān-e-nā-tavāñ bhī tū navā-e-be-navā bhī hai
mirā maulā-o-āqā makHzan-e-faiz-o-'atā bhī hai
vo jis kā 'ishq-o-mastī se 'ibārat silsila bhī hai
vo jān-e-mai-kada raushan charāġh-e-bul-'olā bhī hai
na ho kyuuñ matla'-e-anvār-e-'ālam us kī peshānī
vo peshānī jo tere naqsh-e-pā se āshnā bhī hai
karīmī dast-gīrī chāra-sāzī hai shi'ār us kā
mirā maljā-o-māvā mamba-e-jūd-o-sakHā bhī hai
tujhī ko māñgtā huuñ tujh se ḳhud aur terī iimā par
mirā dast-e-du'ā bhī hai tū merā mudda'ā bhī hai
maiñ jab bhī ġhaur karatā huuñ to ḳhud pe rashk aatā hai
ki mujh se banda-e-nāchīz shāyān-e-'atā bhī hai
use mā'lūm hai 'mahshar' vo kyā pūchhe sar-e-mahshar
tu jis se multajī hai vo hī terā multajā bhī hai
tawan-e-na-tawan bhi tu nawa-e-be-nawa bhi hai
mera maula-o-aqa makHzan-e-faiz-o-'ata bhi hai
wo jis ka 'ishq-o-masti se 'ibarat silsila bhi hai
wo jaan-e-mai-kada raushan charagh-e-bul-'ola bhi hai
na ho kyun matla'-e-anwar-e-'alam us ki peshani
wo peshani jo tere naqsh-e-pa se aashna bhi hai
karimi dast-giri chaara-sazi hai shi'ar us ka
mera malja-o-mawa mamba-e-jud-o-sakHa bhi hai
tujhi ko mangta hun tujh se KHud aur teri ima par
mera dast-e-du'a bhi hai tu mera mudda'a bhi hai
main jab bhi ghaur karata hun to KHud pe rashk aata hai
ki mujh se banda-e-nachiz shayan-e-'ata bhi hai
use ma'lum hai 'mahshar' wo kya puchhe sar-e-mahshar
tu jis se multaji hai wo hi tera multaja bhi hai
- Book : Kalaam-e-Manzoor Aarfi (Pg. 131)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.