mai-kade ka nizam tum se hai
mai-kade kā nizām tum se hai
shīsha tum se hai jaam tum se hai
sub.h tum se hai shaam tum se hai
har tarah kā nizām tum se hai
sab ko soz-o-gudāz tum ne diyā
ishq kā faiz-e-ām tum se hai
maiñ zamāne ke rū-ba-rū chup huuñ
be-takalluf kalām tum se hai
ḳhāl-e-mushkīñ bhī zulf-e-pechāñ bhī
daana tum se hai daam tum se hai
mehar-e-anvar meñ hai tumhārī ziyā
husn-e-māh tamām tum se hai
tum ho buniyād donoñ a.alam kī
do jahāñ kā qiyām tum se hai
ham tumhār haiñ tum hamāre ho
ham ko ishq-e-davām tum se hai
ab kisī ko 'nasīr' kyā jaane
ab to jo kuchh hai kaam tum se hai
mai-kade ka nizam tum se hai
shisha tum se hai jam tum se hai
subh tum se hai sham tum se hai
har tarah ka nizam tum se hai
sab ko soz-o-gudaz tum ne diya
ishq ka faiz-e-am tum se hai
main zamane ke ru-ba-ru chup hun
be-takalluf kalam tum se hai
KHal-e-mushkin bhi zulf-e-pechan bhi
dana tum se hai dam tum se hai
mehar-e-anwar mein hai tumhaari ziya
husn-e-mah tamam tum se hai
tum ho buniyaad donon aalam ki
do jahan ka qiyam tum se hai
hum tumhaar hain tum hamare ho
hum ko ishq-e-dawam tum se hai
ab kisi ko 'nasir' kya jaane
ab to jo kuchh hai kaam tum se hai
- Book : Kulliyat-e-Naseer Gilani (Pg. 847)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.