mai-kHana-wahdat ke saqi kar band na bab-e-il-lallah
mai-kHana-wahdat ke saqi kar band na bab-e-il-lallah
Shah Mohsin Danapuri
MORE BYShah Mohsin Danapuri
mai-kHāna-vahdat ke saaqī kar band na bāb-e-il-lallāh
pyāsā huuñ tirī āñkhoñ kī qasam ik jām-e-ḳharāb-e-il-lallāh
ye jām-o-subū meñ lutf kahāñ jo kaif hai us sāġhar meñ nihāñ
paimāna-e-dil meñ piite haiñ ham bāda-e-nāb-e-il-lallāh
dīvāne bhī haiñ hushiyār bhī haiñ be-kār bhī haiñ ham bā-kār bhī haiñ
piite haiñ pilāte rahte haiñ mastoñ ko sharāb-e-il-lallah
jalvat meñ maze huuñ ḳhalvat ke ḳhalvat meñ tamāshe jalvat ke
khul jaa.e jo bāb-e-il-lallāh uTh jaa.e hijāb-e-il-lallāh
dil madrasa-e-vahdat hai mirā hotī hai yahāñ tā'līm-e-fanā
dar-parda bayāñ karatā hai koī asrār-e-kitāb-e-il-lallāh
saaqī se ye mai-kash kahte haiñ dam toḌ rahe haiñ sakte meñ
jāmoñ se nahīñ āñkhoñ se pilā mastoñ ko sharāb-e-il-lallah
'mohsin' tirī āñḳheñ kahtī haiñ maḳhmūr nigāheñ kahtī haiñ
bhar dī hai magar un pyāloñ meñ saaqī ne sharāb-e-il-lallah
mai-kHana-wahdat ke saqi kar band na bab-e-il-lallah
pyasa hun teri aankhon ki qasam ek jam-e-KHarab-e-il-lallah
ye jam-o-subu mein lutf kahan jo kaif hai us saghar mein nihan
paimana-e-dil mein pite hain hum baada-e-nab-e-il-lallah
diwane bhi hain hushiyar bhi hain be-kar bhi hain hum ba-kar bhi hain
pite hain pilate rahte hain maston ko sharab-e-il-lallah
jalwat mein maze hun KHalwat ke KHalwat mein tamashe jalwat ke
khul jae jo bab-e-il-lallah uTh jae hijab-e-il-lallah
dil madrasa-e-wahdat hai mera hoti hai yahan ta'lim-e-fana
dar-parda bayan karata hai koi asrar-e-kitab-e-il-lallah
saqi se ye mai-kash kahte hain dam toD rahe hain sakte mein
jamon se nahin aankhon se pila maston ko sharab-e-il-lallah
'mohsin' teri aanKHen kahti hain maKHmur nigahen kahti hain
bhar di hai magar un pyalon mein saqi ne sharab-e-il-lallah
- Book : Kulliyat-e-Mohsin
- Author : Shah Mohsin Danapuri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.