Sufinama

main kahan tha haif paDa hua kahan la ke mujhko biTha diya

Shah Chaand Ashraf

main kahan tha haif paDa hua kahan la ke mujhko biTha diya

Shah Chaand Ashraf

MORE BYShah Chaand Ashraf

    maiñ kahāñ thā haif paḌā huā kahāñ ke mujh ko biThā diyā

    yahī dostī milā sila ki jahāñ jhagḌā lagā diyā

    huā milne jo us se jo hausla rahā muddatoñ vo judā-judā

    jo milā to mil ke ye kyā kiyā hameñ ḳhaak meñ milā diyā

    abhī tum bhī the abhī dost bhī abhī apne bhī the parā.e bhī

    tirī yaad ne ye ġhazab kiyā ki tamām qissa bhulā diyā

    use maiñ fanā ki baqā kahūñ nahīñ baat kahne kyā kahūñ

    ye 'ajab rāz-o-niyāz hai ki banā ke us se miTā diyā

    vo jahāñ sham.a hai aur ki baġhair sub.h na gul huī

    maiñ vo bad-nasīb charāġh huuñ ki jalā diyā aur bujhā diyā

    jise log samjhe haiñ 'chāñd' hai vo kisī ruḳh naqāb hai

    liyā kaam jis ne nigāh se use parda meñ jalva dikhā diyā

    na banānā thā na banātā to ye banā ke 'chāñd' ko kyā kiyā

    kiyā nūr-e-pāk se jalva-gar magar us meñ daaġh lagā diyā

    main kahan tha haif paDa hua kahan la ke mujh ko biTha diya

    yahi dosti ka mila sila ki jahan ka jhagDa laga diya

    hua milne ka jo us se jo hausla raha muddaton wo juda-juda

    jo mila to mil ke ye kya kiya hamein KHak hi mein mila diya

    abhi tum bhi the abhi dost bhi abhi apne bhi the parae bhi

    teri yaad ne ye ghazab kiya ki tamam qissa bhula diya

    use main fana ki baqa kahun nahin baat kahne ki kya kahun

    ye 'ajab raaz-o-niyaz hai ki bana ke us se miTa diya

    wo jahan ki shama hai aur hi ki baghair subh na gul hui

    main wo bad-nasib charagh hun ki jala diya aur bujha diya

    jise log samjhe hain 'chand' hai wo kisi ki ruKH ki naqab hai

    liya kaam jis ne nigah se use parda mein jalwa dikha diya

    na banana tha na banata to ye bana ke 'chand' ko kya kiya

    kiya nur-e-pak se jalwa-gar magar us mein dagh laga diya

    Source :
    • Book : Anwaa-e-Darwesh (Pg. 184)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now