main KHud ko DhunDhta hun wo hath aa rahe hain
maiñ ḳhud ko DhūñDhtā huuñ vo haath aa rahe haiñ
ab merī shakl se vo jalva dikhā rahe haiñ
maiñ vo nahīñ huuñ hargiz vo meñ nahīñ haiñ lekin
vo mujh ko mahv karke ḳhud ko batā rahe haiñ
maiñ un kā ā.īna huuñ vo merā ā.īna haiñ
maiñ unheñ dikhā rahā huuñ vo mujhe dikhā rahe haiñ
rahtā huuñ un ke man meñ vo mere man ke man haiñ
ab to vahī sarāpā mujh meñ samā rahe haiñ
maiñ maiñ nahīñ rahā ab ab vo hī maiñ bane haiñ
har aan ab vo mujh meñ maiñ ban ke aa rahe haiñ
ai vaah hazrat-e-ishq achchhe haiñ ye karishme
jitnā mujhe bigāḌā utnā banā rahe haiñ
saaqī ke haath se ham pī kar sharāb-e-vahdat
kuchh aur ban rahe haiñ apne se jā rahe haiñ
mai meñ kahāñ thī mastī itnī ki mujh ko khotī
un āñkhoñ ke maiñ sadqe be-ḳhud banā rahe haiñ
tālib se lan-tarānī un kī chalī na āḳhir
kah kar valakin-un-zur par dah uThā rahe haiñ
maiñ kyā batā.ūñ 'ġhausī' maiñ kaisā miT gayā huuñ
ḳhud ko TaToltā huuñ vo haath aa rahe haiñ
main KHud ko DhunDhta hun wo hath aa rahe hain
ab meri shakl se wo jalwa dikha rahe hain
main wo nahin hun hargiz wo mein nahin hain lekin
wo mujh ko mahw karke KHud ko bata rahe hain
main un ka aaina hun wo mera aaina hain
main unhen dikha raha hun wo mujhe dikha rahe hain
rahta hun un ke man mein wo mere man ke man hain
ab to wahi sarapa mujh mein sama rahe hain
main main nahin raha ab ab wo hi main bane hain
har aan ab wo mujh mein main ban ke aa rahe hain
ai wah hazrat-e-ishq achchhe hain ye karishme
jitna mujhe bigaDa utna bana rahe hain
saqi ke hath se hum pi kar sharab-e-wahdat
kuchh aur ban rahe hain apne se ja rahe hain
mai mein kahan thi masti itni ki mujh ko khoti
un aankhon ke main sadqe be-KHud bana rahe hain
talib se lan-tarani un ki chali na aaKHir
kah kar walakin-un-zur par dah uTha rahe hain
main kya bataun 'ghausi' main kaisa miT gaya hun
KHud ko TaTolta hun wo hath aa rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.