main KHuda ki sana gaunga
maiñ ḳhudā kī sanā gā.uñgā
hamd us kī kiye jā.ūñgā
maiñ fat.h-yāb huuñ barsar-e-āb huuñ
vo hai baḳhshish merī vo merā bhaag hai
vo merā zor hai vo merā raag hai
us kī tā'zīm lab pe sadā lā.ūñgā
maiñ ḳhudā kī sanā gā.uñgā
hamd us kī kiye jā.ūñgā
vo hai merā ḳhudā mere ajdād kā
munsif-e-mohtaram rabb-e-ikrām bhī
sāhib-e-jañg bhī sāhib-e-nām bhī
zikr us kī buzurgī kā dohrā.ūñgā
maiñ ḳhudā kī sanā gā.uñgā
hamd us kī kiye jā.ūñgā
pāniyoñ kā ġhazab Dūbne kā sabab
siph-e-fir'aun meñ jo bhī sardār the
dekhte-dekhte ġharq-e-dariyā hue
qudrat-e-rabb-e-'ālam pe itrā.ūñgā
maiñ ḳhudā kī sanā gā.uñgā
hamd us kī kiye jā.ūñgā
nādir merā sarmāya-e-jāñ us ke liye hai
dil us ke liye aur zabāñ us ke liye hai
maiñ ḳhudā kī sanā gā.uñgā
hamd us kī kiye jā.ūñgā
bahr jab jam gayā qahr jab tham gayā
sab 'fanā' ho ga.e hamd us zaat ko
ibratoñ se bharī nādir āyāt ko
giit ke mustaqil rañg pahnā.ūñgā
maiñ ḳhudā kī sanā gā.uñgā
hamd us kī kiye jā.ūñgā
main KHuda ki sana gaunga
hamd us ki kiye jaunga
main fath-yab hun barsar-e-ab hun
wo hai baKHshish meri wo mera bhag hai
wo mera zor hai wo mera rag hai
us ki ta'zim lab pe sada launga
main KHuda ki sana gaunga
hamd us ki kiye jaunga
wo hai mera KHuda mere ajdad ka
munsif-e-mohtaram rabb-e-ikram bhi
sahib-e-jang bhi sahib-e-nam bhi
zikr us ki buzurgi ka dohraunga
main KHuda ki sana gaunga
hamd us ki kiye jaunga
paniyon ka ghazab Dubne ka sabab
siph-e-fir'aun mein jo bhi sardar the
dekhte-dekhte gharq-e-dariya hue
qudrat-e-rabb-e-'alam pe itraunga
main KHuda ki sana gaunga
hamd us ki kiye jaunga
nadir mera sarmaya-e-jaan us ke liye hai
dil us ke liye aur zaban us ke liye hai
main KHuda ki sana gaunga
hamd us ki kiye jaunga
bahr jab jam gaya qahr jab tham gaya
sab 'fana' ho gae hamd us zat ko
ibraton se bhari nadir aayat ko
git ke mustaqil rang pahnaunga
main KHuda ki sana gaunga
hamd us ki kiye jaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.