main yahin karunga sajda mera sar yahin jhukega
maiñ yahīñ karūñgā sajda merā sar yahīñ jhukegā
mirī bandagī kā markaz terā āstāñ rahegā
maiñ fidā huuñ tujh pe jānāñ tere dar se kaise uTThūñ
jo milā nahīñ haram se tere dar se vo milegā
mirī bandagī kā hāsil terī ik nazar hai jānāñ
terī ek nazar se mujh ko merā mudda'ā milegā
terā faiz faiz-e-rahmat terā dar gunāh-poshī
vo chhuTegā qaid-e-ġham se tere dar pe jo miTegā
jo ḳhudā kī justujū hai karo justujū-e-sābir
chalo sābarī galī meñ vahīñ par ḳhudā milegā
baḌī 'azmateñ mileñgī terī 'āshiqī meñ jānāñ
jo nazar milā ke tujh se mai-e-’āshiqī piyegā
tere dar kā huuñ bhikārī mujhe apnā sadqa de de
merī jholiyāñ bhareñgī tū agar karam karegā
na duī kā rañg hogā na ḳhudī rahegī baaqī
tere ruḳh se mere jaañ ye hijāb jab haTegā
maiñ huuñ sābarī qalandar mujhe kyā ġharaz kisī se
mere dil meñ nuur ban kar ġham-e-sābrī rahegā
'fanā' ho ke tere dar par aisā ā.īna banūñgā
mujhe dekh legā jo bhī terā jalva dekh legā
main yahin karunga sajda mera sar yahin jhukega
meri bandagi ka markaz tera aastan rahega
main fida hun tujh pe jaanan tere dar se kaise uTThun
jo mila nahin haram se tere dar se wo milega
meri bandagi ka hasil teri ek nazar hai jaanan
teri ek nazar se mujh ko mera mudda'a milega
tera faiz faiz-e-rahmat tera dar gunah-poshi
wo chhuTega qaid-e-gham se tere dar pe jo miTega
jo KHuda ki justuju hai karo justuju-e-sabir
chalo sabari gali mein wahin par KHuda milega
baDi 'azmaten milengi teri 'ashiqi mein jaanan
jo nazar mila ke tujh se mai-e-’ashiqi piyega
tere dar ka hun bhikari mujhe apna sadqa de de
meri jholiyan bharengi tu agar karam karega
na dui ka rang hoga na KHudi rahegi baqi
tere ruKH se mere jaan ye hijab jab haTega
main hun sabari qalandar mujhe kya gharaz kisi se
mere dil mein nur ban kar gham-e-sabri rahega
'fana' ho ke tere dar par aisa aaina banunga
mujhe dekh lega jo bhi tera jalwa dekh lega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.