ajab hi haal hai merā sanam jaane ki hum jaanen
ajab hi haal hai merā sanam jaane ki hum jaanen
Makhdoom Khadim Safi
MORE BYMakhdoom Khadim Safi
ajab hī haal hai merā sanam jaane ki ham jāneñ
khulā hai raaz bātin kā sanam jaane ki ham jāneñ
qasam hai us ke hī sar kī lagī hai ishq kī barchhī
jigar sab ho gayā paarā sanam jaane ki ham jāneñ
na samjho kuchh use ḳhafagī jo dikhlā.e nazar tirchhī
mohabbat kā maza saarā sanam jaane ki ham jāneñ
lagī hai ham se ab baazī huā hai haal sab maazī
vo jiitā us se maiñ haarā sanam jaane ki ham jāneñ
kahī hai ramz 'ḳhādim' ne vo samjhe yā safī samjhe
yahī hai haidarī na.ara sanam jaane ki ham jāneñ
ajab hi haal hai merā sanam jaane ki hum jaanen
khula hai raaz baatin ka sanam jaane ki hum jaanen
qasam hai us ke hi sar ki lagi hai ishq ki barchhi
jigar sab ho gaya para sanam jaane ki hum jaanen
na samjho kuchh use KHafagi jo dikhlae nazar tirchhi
mohabbat ka maza sara sanam jaane ki hum jaanen
lagi hai hum se ab bazi hua hai haal sab mazi
wo jita us se main haara sanam jaane ki hum jaanen
kahi hai ramz 'KHadim' ne wo samjhe ya safi samjhe
yahi hai haidari nara sanam jaane ki hum jaanen
- Book : Asrar-e-Haqiqat (Pg. 20)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.