na tanha ye tan balki jaan dekhta hun
na tanhā ye tan balki jaañ dekhtā huuñ
maiñ vahdat kā dariyā ravāñ dekhtā huuñ
basā dil meñ hai mere yuuñ jalva-e-haq
ki zāhir meñ bātin miyāñ dekhtā huuñ
bama'nī-o-sūrat sanam terī sūrat
maiñ sūrat meñ apnī ayaañ dekhtā huuñ
mujhe kaun tujh bin sambhāle ḳhudāyā
ki maiñ tujh-sā mālik kahāñ dekhtā huuñ
sifat us kī yaaro kahāñ tak karūñ maiñ
ki be-hadd-o-imkāñ bayāñ dekhtā huuñ
ġhazal ek aur aisī kahiyo tū 'ḳhādim'
ki maiñ tujh ko tālal-lisāñ dekhtā huuñ
na tanha ye tan balki jaan dekhta hun
main wahdat ka dariya rawan dekhta hun
basa dil mein hai mere yun jalwa-e-haq
ki zahir mein baatin miyan dekhta hun
bama'ni-o-surat sanam teri surat
main surat mein apni ayan dekhta hun
mujhe kaun tujh bin sambhaale KHudaya
ki main tujh-sa malik kahan dekhta hun
sifat us ki yaro kahan tak karun main
ki be-hadd-o-imkan bayan dekhta hun
ghazal ek aur aisi kahiyo tu 'KHadim'
ki main tujh ko talal-lisan dekhta hun
- Book : Asrar-e-Haqiqat (Pg. 19)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.