jo yaad-e-karbala hai aabid ke aansuon mein
jo yād-e-karbalā hai 'ābid ke āñsuoñ meñ
har qatra kah rahā hai 'ābid ke āñsuoñ meñ
ai 'ishq ā.īna hai 'ābid ke āñsuoñ meñ
ġham to palā-baḌhā hai 'ābid ke āñsuoñ meñ
kab ġham kī intihā hai 'ābid ke āñsuoñ meñ
iz.hār-e-ibtidā hai 'ābid ke āñsuoñ meñ
ik karb-e-be-riyā hai 'ābid ke āñsuoñ meñ
ġham-e-dard āshnā hai 'ābid ke āñsuoñ meñ
āñkheñ jamī huī haiñ ālām-e-karbalā par
aur dard bah rahā hai 'ābid ke āñsuoñ meñ
palkoñ se Dhāñp liije ye ashk ho sake to
har shaam be-ridā hai aabid ke āñsuoñ meñ
mardān-e-haq 'farīdī' sajjād ke haiñ pairav
fardiyat safā hai 'ābid ke āñsuoñ meñ
jo yaad-e-karbala hai 'abid ke aansuon mein
har qatra kah raha hai 'abid ke aansuon mein
ai 'ishq aaina hai 'abid ke aansuon mein
gham to pala-baDha hai 'abid ke aansuon mein
kab gham ki intiha hai 'abid ke aansuon mein
izhaar-e-ibtida hai 'abid ke aansuon mein
ek karb-e-be-riya hai 'abid ke aansuon mein
gham-e-dard aashna hai 'abid ke aansuon mein
aankhen jami hui hain aalam-e-karbala par
aur dard bah raha hai 'abid ke aansuon mein
palkon se Dhanp lije ye ashk ho sake to
har sham be-rida hai aabid ke aansuon mein
mardan-e-haq 'faridi' sajjad ke hain pairaw
fardiyat safa hai 'abid ke aansuon mein
- Book : Sukhan Waraan-e-Izzat (Pg. 84)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.