teri furqat mein jo aansu ka bahana hoga
terī furqat meñ jo aañsū kā bahānā hogā
dil-e-bīmār maraz meñ bhī tavānā hogā
ek din hogā ki jannat meñ hamīñ tum hoñge
mere pahlū se tabhī dard kā jaanā hogā
jis kā mumkin nahīñ aanā hai mire paas talak
khīñch kar jazb-e-mohabbat tujhe laanā hogā
mujh ko majbūr kiye detā hai dil us kī taraf
us ne ulfat mire dil meñ kahīñ Thānā hogā
shakl-e-ahmad huuñ vo hai qabr meñ ḳhalvat 'mardāñ'
bahr-e-pursish na nakīroñ ko bhī aanā hogā
teri furqat mein jo aansu ka bahana hoga
dil-e-bimar maraz mein bhi tawana hoga
ek din hoga ki jannat mein hamin tum honge
mere pahlu se tabhi dard ka jaana hoga
jis ka mumkin nahin aana hai mere pas talak
khinch kar jazb-e-mohabbat tujhe lana hoga
mujh ko majbur kiye deta hai dil us ki taraf
us ne ulfat mere dil mein kahin Thana hoga
shakl-e-ahmad hun wo hai qabr mein KHalwat 'mardan'
bahr-e-pursish na nakiron ko bhi aana hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.