marne ki thi sabil jiye ja raha hun main
marne kī thī sabīl jiye jā rahā huuñ maiñ
saaqī pilā rahā hai piye jā rahā huuñ maiñ
saaqī ko dil meñ yaad kiye jā rahā huuñ maiñ
ka.abe meñ bhī sharāb piye jā rahā huuñ maiñ
mālik kī baḳhshishoñ kā hisāb-o-kitāb kyā
vo de rahā hai aur liye jā rahā huuñ maiñ
vo baḳhshe yā na baḳhshe use iḳhtiyār hai
apnā jo kaam hai vo kiye jā rahā huuñ maiñ
aa ai ajal ki nām-e-ḳhudā le ke zauq meñ
zikr-e-habīb-e-haq bhī kiye jā rahā huuñ maiñ
'mohsin' harīm-e-dil meñ use dekh-dekh kar
apnā tavāf aap kiye jā huuñ maiñ
marne ki thi sabil jiye ja raha hun main
saqi pila raha hai piye ja raha hun main
saqi ko dil mein yaad kiye ja raha hun main
kabe mein bhi sharab piye ja raha hun main
malik ki baKHshishon ka hisab-o-kitab kya
wo de raha hai aur liye ja raha hun main
wo baKHshe ya na baKHshe use iKHtiyar hai
apna jo kaam hai wo kiye ja raha hun main
aa ai ajal ki nam-e-KHuda le ke zauq mein
zikr-e-habib-e-haq bhi kiye ja raha hun main
'mohsin' harim-e-dil mein use dekh-dekh kar
apna tawaf aap kiye ja hun main
- Book : Kulliyat-e-Mohsin
- Author : Shah Mohsin Danapuri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.