us dil ka puchhna kya jis dil mein tuhi to hai
us dil kā pūchhnā kyā jis dil meñ tuuhī to hai
tū kHuub jāntā hai jo merī aarzū hai
allāh re jazb-e-kāmil uf re ai tasavvur
maiñ tere sāmne huuñ tū mere rū-ba-rū hai
bekas kī aas toḌo lekin zarā samajh kar
lā-taqnatū ko dekho ye kis kī guftugū hai
ai dil ye haav hū kyuuñ be-kār justujū kyuuñ
tū jis ko DhūñDhtā hai qurb-e-rag-e-gulū hai
lutf-o-karam se tere mahrūm kyuuñ rahūñ maiñ
yā rab karīm tū hai yā rab ġhafūr tū hai
DhūñDh apne dil meñ us ko us meñ patā milegā
kā'ba meñ kyā dharā hai ḳhālī makān ho hai
us dil ka puchhna kya jis dil mein tuhi to hai
tu kHub jaanta hai jo meri aarzu hai
allah re jazb-e-kaamil uf re ai tasawwur
main tere samne hun tu mere ru-ba-ru hai
bekas ki aas toDo lekin zara samajh kar
la-taqnatu ko dekho ye kis ki guftugu hai
ai dil ye haw hu kyun be-kar justuju kyun
tu jis ko DhunDhta hai qurb-e-rag-e-gulu hai
lutf-o-karam se tere mahrūm kyun rahun main
ya rab karim tu hai ya rab ghafur tu hai
DhunDh apne dil mein us ko us mein pata milega
ka'ba mein kya dhara hai KHali makan ho hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.