Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

chhuDa deti hai fikr-e-ghair se tasir-e-mai-KHana

Maulana Abdul Qadeer Hasrat

chhuDa deti hai fikr-e-ghair se tasir-e-mai-KHana

Maulana Abdul Qadeer Hasrat

MORE BYMaulana Abdul Qadeer Hasrat

    chhuḌā detī hai fikr-e-ġhair se tāsīr-e-mai-ḳhāna

    milī hai 'arsh zanjīr se zanjīr-e-mai-ḳhāna

    paḌho bāda-gusāro ab namāz-e-kHud farāmoshī

    sadā-e-qulqul-e-mīnā huī takbīr-e-mai-ḳhāna

    nazar meñ zāhidān-e-ḳhushk hai ḳhīrgī paidā

    huī hai shīsha-hā-e-mai se vo tanvīr-e-mai-kHāna

    riyā-kār aur ḳhud-bīñ nahīñ us meñ guzar hargiz

    'ajab qudsī-sifat jaarī huī taqdīr-e-mai-ḳhāna

    khaḌā hai jhūmtā koī paḌā hai lauTtā koī

    koī maanī se kah de khīñch le tasvīr-e-mai-ḳhāna

    na de miinā na de sāġhar mujhe us nahīñ hājat

    nigāh-e-mast kaafī hai tirī ai pīr-e-mai-ḳhāna

    balā-noshoñ meñ durd-e-tah-nashīñ taqsīm hotī hai

    salāmat bā-karāmat yā-ilāhī pīr-e-mai-ḳhāna

    na aa.egī koī aafat kabhī mai-ḳhāna par 'hasrat'

    du’ā-e-mukHlisāñ hai pāya-e-tā’mīr-e-mai-kHāna

    chhuDa deti hai fikr-e-ghair se tasir-e-mai-KHana

    mili hai 'arsh ki zanjir se zanjir-e-mai-KHana

    paDho baada-gusaro ab namaz-e-kHud faramoshi

    sada-e-qulqul-e-mina hui takbir-e-mai-KHana

    nazar mein zahidan-e-KHushk ki hai KHirgi paida

    hui hai shisha-ha-e-mai se wo tanwir-e-mai-kHana

    riya-kar aur KHud-bin ka nahin us mein guzar hargiz

    'ajab qudsi-sifat jari hui taqdir-e-mai-KHana

    khaDa hai jhumta koi paDa hai lauTta koi

    koi mani se kah de khinch le taswir-e-mai-KHana

    na de mina na de saghar mujhe us ki nahin hajat

    nigah-e-mast kafi hai teri ai pir-e-mai-KHana

    bala-noshon mein durd-e-tah-nashin taqsim hoti hai

    salamat ba-karamat ya-ilahi pir-e-mai-KHana

    na aaegi koi aafat kabhi mai-KHana par 'hasrat'

    du’a-e-mukHlisan hai paya-e-ta’mir-e-mai-kHana

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Unknown

    Unknown

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now