ai jaan-e-jahan kab tak ye gosha-e-tanhai
ai jaan-e-jahan kab tak ye gosha-e-tanhai
Maulana Abdul Qadeer Hasrat
MORE BYMaulana Abdul Qadeer Hasrat
ai jān-e-jahāñ kab tak ye gosha-e-tanhā.ī
sab diid ke tālib haiñ jitne haiñ tamāshā.ī
ā.īna kahegā kyā kyā tujh meñ hai rā'nā.ī
pūchh us se tirī qīmat terā jo hai shaidā.ī
maiñ ġhair nahīñ ai jaañ kyuuñ hote ho tum anjāñ
mujh se to hamesha se hai rabt-o-shanāsā.ī
parde meñ numāyāñ hai be-parda vo pinhāñ hai
paidā.ī hai pinhānī pinhānī hai paidā.ī
us shauq-e-tamāshā ne us ko bhī kahāñ chhoḌā
parda se nikal aayā ḳhud ban ke tamāshā.ī
barbādī-e-'āshiq se kab rahtī hai mā'shūqī
sab dam se hamāre hai mā'shūqī-o-shaidā.ī
vo bāñdh ke baiThā hai dāman tire dāman se
dīvāna pe qurbān hai dānāoñ kī dānā.ī
mad-hoshī-e-ulfat meñ kis lutf se kaTtī thī
kyuuñ hosh hameñ aayā kyuuñ 'aql ye phir aa.ī
rindī mirā maz.hab hai mastī mirā mashrab hai
huuñ ‘hasrat’-e-dīvāna aur aap kā shaidā.ī
ai jaan-e-jahan kab tak ye gosha-e-tanhai
sab did ke talib hain jitne hain tamashai
aaina kahega kya kya tujh mein hai ra'nai
puchh us se teri qimat tera jo hai shaidai
main ghair nahin ai jaan kyun hote ho tum anjaan
mujh se to hamesha se hai rabt-o-shanasai
parde mein numayan hai be-parda wo pinhan hai
paidai hai pinhani pinhani hai paidai
us shauq-e-tamasha ne us ko bhi kahan chhoDa
parda se nikal aaya KHud ban ke tamashai
barbaadi-e-'ashiq se kab rahti hai ma'shuqi
sab dam se hamare hai ma'shuqi-o-shaidai
wo bandh ke baiTha hai daman tere daman se
diwana pe qurban hai danaon ki danai
mad-hoshi-e-ulfat mein kis lutf se kaTti thi
kyun hosh hamein aaya kyun 'aql ye phir aai
rindi mera mazhab hai masti mera mashrab hai
hun ‘hasrat’-e-diwana aur aap ka shaidai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.