Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

teri ulfat mein mar miTna shahadat isko kahte hain

Maulana Hidayat Rasool

teri ulfat mein mar miTna shahadat isko kahte hain

Maulana Hidayat Rasool

MORE BYMaulana Hidayat Rasool

    tirī ulfat meñ mar miTnā shahādat is ko kahte haiñ

    tire kūche meñ honā dafn jannat is ko kahte haiñ

    tujhī ko dekhnā terī sunñā tujh meñ gum rahnā

    haqīqat ma.arifat ahl-e-tarīqat is ko kahte haiñ

    nikal bhāgā tire kūche jānib terā dīvāna

    na Thahrā ek dam jannat meñ vahshat is ko kahte haiñ

    riyāzat naam hai terī galī meñ āne-jāne

    tasavvur meñ tire rahnā 'ibādat is ko kahte haiñ

    vilāyat imtihān-e-dost meñ sābit qadam rahnā

    balāoñ se na ghabrānā karāmat is ko kahte haiñ

    tirā 'āshiq tirā shaidā tirā saa.il tirā mañgtā

    tirā ḳhādim tirā banda ‘hidāyat’ is ko kahte haiñ

    teri ulfat mein mar miTna shahadat is ko kahte hain

    tere kuche mein hona dafn jannat is ko kahte hain

    tujhi ko dekhna teri hi sunna tujh mein gum rahna

    haqiqat marifat ahl-e-tariqat is ko kahte hain

    nikal bhaga tere kuche ki jaanib tera diwana

    na Thahra ek dam jannat mein wahshat is ko kahte hain

    riyazat nam hai teri gali mein aane-jaane ka

    tasawwur mein tere rahna 'ibaadat is ko kahte hain

    wilayat imtihan-e-dost mein sabit qadam rahna

    balaon se na ghabrana karamat is ko kahte hain

    tera 'ashiq tera shaida tera sail tera mangta

    tera KHadim tera banda ‘hidayat’ is ko kahte hain

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Unknown

    Unknown

    This content features in following collection(s)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now