may wo mai jo nahi milti kisi mai-KHane mein
may vo mai jo nahii. miltī kisī mai-ḳhāne meñ
Daal de Daal de saaqī mere paimāne meñ
jān-e-jāñ tū hai kahāñ kaun se kāshāne meñ
ka.aba meñ jaa.eñ kalīsā meñ ki but-ḳhāne meñ
aamad aamad hai ye kis riñd kī mai-ḳhāne meñ
mai-e-pur-josh samātī nahīñ paimāne meñ
qissa-go ye to batā kaise sunāyā un ko
kis kā afsāna milāyā mere afsāne meñ
gardish-e-chashm ne saaqī kī kiyā thā mad.hosh
jhuk ga.ī bazm kī bazm ek hī paimāne meñ
aur ek thoḌī sī saaqī mere saaqī de de
abhī gunjā.ish-e-mai-kHāna hai paimāne meñ
dīn-o-duniyā se ta.alluq nahīñ baaqī saaqī
jab se baiThe haiñ ham aakar tire mai-ḳhāne meñ
madh-bharī āñkhoñ meñ jo tuune chhipā rakhī hai
sāqiyā thoḌī sī vo bhī mere paimāne meñ
jal gayā ḳhaak huā ḳhaak bhī pāmāl huī
phir bhī hai rūh-e-mohabbat vahī parvāne meñ
tark-e-mai-kHāna ko muddat huī lekin ab tak
dil hai shīsha meñ mirā aañkh hai paimāne meñ
lo idhar kāñpī udhar zarra har ik kaañp uThā
ḳhaak hokar bhī ye ehsās hai parvāne meñ
gardish-e-jām se zāhir hai hamārī gardish
dil 'hafīz' apnā hai sāġhar nahīñ mai-ḳhāne meñ
may wo mai jo nahi milti kisi mai-KHane mein
Dal de Dal de saqi mere paimane mein
jaan-e-jaan tu hai kahan kaun se kashane mein
kaba mein jaen kalisa mein ki but-KHane mein
aamad aamad hai ye kis rind ki mai-KHane mein
mai-e-pur-josh samati nahin paimane mein
qissa-go ye to bata kaise sunaya un ko
kis ka afsana milaya mere afsane mein
gardish-e-chashm ne saqi ki kiya tha madhosh
jhuk gai bazm ki bazm ek hi paimane mein
aur ek thoDi si saqi mere saqi de de
abhi gunjaish-e-mai-kHana hai paimane mein
din-o-duniya se talluq nahin baqi saqi
jab se baiThe hain hum aakar tere mai-KHane mein
madh-bhari aankhon mein jo tune chhipa rakhi hai
saqiya thoDi si wo bhi mere paimane mein
jal gaya KHak hua KHak bhi pamal hui
phir bhi hai ruh-e-mohabbat wahi parwane mein
tark-e-mai-kHana ko muddat hui lekin ab tak
dil hai shisha mein mera aankh hai paimane mein
lo idhar kanpi udhar zarra har ek kanp uTha
KHak hokar bhi ye ehsas hai parwane mein
gardish-e-jam se zahir hai hamari gardish
dil 'hafiz' apna hai saghar nahin mai-KHane mein
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 119)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.