ishq ka raaz gar na khul jata
'ishq kā raaz gar na khul jaatā
is qadar tū na ham se sharmātā
aa ke tab baiThtā hai vo ham paas
aap meñ jab hameñ nahīñ paatā
zindagī ne vafā na kī varna
maiñ tamāshā vafā kā dikhlātā
mar ga.e ham to kahte-kahte haal
kuchh to tū bhī zabāñ se farmātā
maiñ to jaatā hī aap se lekin
tere kahne se ab nahīñ jaatā
sab ye bāteñ haiñ chaah kī varna
is qadar tū na ham par jhuñjhlātā
jaise ye miir kā sunā hai she'r
gar ye be-iḳhtiyār hai aatā
ḳhvāb meñ bhī rahā tū aane se
dekhne hī kā thā ye sab naatā
maiñ na suntā kisī kī baat 'hasan'
dil jo bāteñ na mujh ko sunvātā
'ishq ka raaz gar na khul jata
is qadar tu na hum se sharmata
aa ke tab baiThta hai wo hum pas
aap mein jab hamein nahin pata
zindagi ne wafa na ki warna
main tamasha wafa ka dikhlata
mar gae hum to kahte-kahte haal
kuchh to tu bhi zaban se farmata
main to jata hi aap se lekin
tere kahne se ab nahin jata
sab ye baaten hain chah ki warna
is qadar tu na hum par jhunjhlata
jaise ye mir ka suna hai she'r
gar ye be-iKHtiyar hai aata
KHwab mein bhi raha tu aane se
dekhne hi ka tha ye sab nata
main na sunta kisi ki baat 'hasan'
dil jo baaten na mujh ko sunwata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.