ab to saba chaman se aati nahin idhar kuchh
ab to sabā chaman se aatī nahīñ idhar kuchh
ham tak nahīñ pahuñchtī gul kī ḳhabar itr kuchh
zauq-e-ḳhabar meñ ham to behosh ho ga.e the
kyā jaane kab vo aayā ham ko nahīñ ḳhabar kuchh
ye tasht-o-teġh hai ab ye maiñ huuñ aur ye tū
hai saath mere zālim da.ava tujhe agar kuchh
ve din ga.e ki be-ġham koī ghaḌī kaTī thī
thamte nahīñ haiñ aañsū ab to pahar pahar kuchh
un ujḌī bastiyoñ meñ dīvār-o-dar haiñ kyā kyā
āsār jin ke haiñ ye un kā nahīñ asar kuchh
vaa.iz na ho muāriz nek-o-bad jahāñ se
jo ho sake to ġhāfil apnā hī fikr kar kuchh
āñkhoñ meñ merī a.alam saarā siyāh hai ab
mujh ko baġhair us ke aatā nahīñ nazar kuchh
ham ne to nāḳhunoñ se muñh saarā noch Daalā
ab kohkan dikhāve rakhtā hai gar hunar kuchh
talvār ke tale hī kaaTī hai umr saarī
abrū-e-ḳham se us ke ham ko nahīñ hai Dar kuchh
gah shefta haiñ mū ke gah bāvle haiñ rū ke
ahvāl-e-'mīr' jī kā hai shaam kuchh sahar kuchh
ab to saba chaman se aati nahin idhar kuchh
hum tak nahin pahunchti gul ki KHabar itr kuchh
zauq-e-KHabar mein hum to behosh ho gae the
kya jaane kab wo aaya hum ko nahin KHabar kuchh
ye tasht-o-tegh hai ab ye main hun aur ye tu
hai sath mere zalim dawa tujhe agar kuchh
we din gae ki be-gham koi ghaDi kaTi thi
thamte nahin hain aansu ab to pahar pahar kuchh
un ujDi bastiyon mein diwar-o-dar hain kya kya
aasar jin ke hain ye un ka nahin asar kuchh
waiz na ho muariz nek-o-bad jahan se
jo ho sake to ghafil apna hi fikr kar kuchh
aankhon mein meri aalam sara siyah hai ab
mujh ko baghair us ke aata nahin nazar kuchh
hum ne to naKHunon se munh sara noch Dala
ab kohkan dikhawe rakhta hai gar hunar kuchh
talwar ke tale hi kaTi hai umr sari
abru-e-KHam se us ke hum ko nahin hai Dar kuchh
gah shefta hain mu ke gah bawle hain ru ke
ahwal-e-'mir' ji ka hai sham kuchh sahar kuchh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.