Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

mera pir mujhko KHarid kar mujhe qaid-o-band se chhuDa diya

Azizuddin Rizwan Qadri

mera pir mujhko KHarid kar mujhe qaid-o-band se chhuDa diya

Azizuddin Rizwan Qadri

MORE BYAzizuddin Rizwan Qadri

    merā piir mujh ko ḳharīd kar mujhe qaid-o-band se chhuḌā diyā

    maiñ parind-e-be-par-o-bāl thā mujhe par lagā ke uḌā diyā

    vo namāz kaisī namāz thī jo ḳhudā adā kiyā 'arsh par

    hai baḌā karam mere piir vo namāz paḌhnā sikhā diyā

    terā raaz maiñ merā raaz nahīñ ab mujhe koī justujū

    dil-e-muztarib huā mutma.in chhupā raaz jo thā batā diyā

    shab-o-roz piir diid hai shab-o-roz rindoñ 'iid hai

    merā piir 'iid chāñd hai mujhe dīd-bāzī sikhā diyā

    mere tan meñ dil mere dil meñ jaañ merī jaañ meñ kaun hai kyā kahūñ

    ka.ī parde vahm-o-gumāñ ke the vo uThā ke gūñgā banā diyā

    kahīñ maiñ-o-tū kahīñ hā-o-hū kahīñ lā-o-illā ke naqsh the

    merā dil banā diyā ā.īna vo saare nuqūsh miTā diyā

    dar-e-pīr hai dar-e-mustafā dar-e-mustafa hai dar-e-ḳhudā

    mujhe dair-o-kā'ba se kyā ġharaz usī dar pe sar ko jhukā diyā

    merā rahnumā bhī 'ajīb hai ye to 'rizvāñ' apnā nasīb hai

    jo na sun sakā vo sunā diyā jo na dikh sakā vo dikhā diyā

    mera pir mujh ko KHarid kar mujhe qaid-o-band se chhuDa diya

    main parind-e-be-par-o-baal tha mujhe par laga ke uDa diya

    wo namaz kaisi namaz thi jo KHuda ada kiya 'arsh par

    hai baDa karam mere pir ka wo namaz paDhna sikha diya

    tera raaz main mera raaz tu nahin ab mujhe koi justuju

    dil-e-muztarib hua mutmain chhupa raaz jo tha bata diya

    shab-o-roz pir ki did hai shab-o-roz rindon ki 'id hai

    mera pir 'id ka chand hai mujhe did-bazi sikha diya

    mere tan mein dil mere dil mein jaan meri jaan mein kaun hai kya kahun

    kai parde wahm-o-guman ke the wo uTha ke gunga bana diya

    kahin main-o-tu kahin ha-o-hu kahin la-o-illa ke naqsh the

    mera dil bana diya aaina wo sare nuqush miTa diya

    dar-e-pir hai dar-e-mustafa dar-e-mustafa hai dar-e-KHuda

    mujhe dair-o-ka'ba se kya gharaz usi dar pe sar ko jhuka diya

    mera rahnuma bhi 'ajib hai ye to 'rizwan' apna nasib hai

    jo na sun saka wo suna diya jo na dikh saka wo dikha diya

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Unknown

    Unknown

    Source :
    • Book : Al-kabeer
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now