mere mah-jabin ne ba-sad-ada jo naqab ruKH se uTha diya
mere mah-jabin ne ba-sad-ada jo naqab ruKH se uTha diya
Aughat Shah Warsi
MORE BYAughat Shah Warsi
mere mah-jabīñ ne ba-sad-adā jo naqāb ruḳh se uThā diyā
jo sunā na thā kabhī hosh meñ vo tamāshā mujh ko dikhā diyā
milā shab jo ḳhvāb meñ vo hasīñ ye kahā thā niklegī hasrateñ
ye jafā ye bād-e-sahar ne kī chalī yuuñ ki mujh ko jagā diyā
maiñ agarche ḳhaak meñ mil chukā magar un ke dil meñ ġhubār thā
ki nishān-e-qabr bhī DhūñDh kar mere sañg-e-dil ne miTā diyā
chhuTe qaid-e-dair-o-haram se ham hue ḳhvāb vo jo ḳhayāl the
mujhe sāqiyā mai-e-be-ḳhudī kā vo jaam tū ne pilā diyā
tujhe dekh o but-e-ḳhush-adā phirī aañkh saarī ḳhudā.ī se
vo jo yaad rahtī thī sūrateñ unheñ saaf dil se bhulā diyā
maiñ vo murġh-e-ḳhanā-ḳharāb huuñ ki chaman-e-qafs kā hai zikr kyā
liyā gar hasīnoñ ne mol bhī mujhe sadqa kar ke uḌā diyā
merā garche 'aughaT' naam hai par karam hai 'vāris'-e-pāk kā
zahe-shān dam meñ ġhanī kiyā ki gadā se shaah banā diyā
mere mah-jabin ne ba-sad-ada jo naqab ruKH se uTha diya
jo suna na tha kabhi hosh mein wo tamasha mujh ko dikha diya
mila shab jo KHwab mein wo hasin ye kaha tha niklegi hasraten
ye jafa ye baad-e-sahar ne ki chali yun ki mujh ko jaga diya
main agarche KHak mein mil chuka magar un ke dil mein ghubar tha
ki nishan-e-qabr bhi DhunDh kar mere sang-e-dil ne miTa diya
chhuTe qaid-e-dair-o-haram se hum hue KHwab wo jo KHayal the
mujhe saqiya mai-e-be-KHudi ka wo jam tu ne pila diya
tujhe dekh o but-e-KHush-ada phiri aankh sari KHudai se
wo jo yaad rahti thi suraten unhen saf dil se bhula diya
main wo murgh-e-KHana-KHarab hun ki chaman-e-qafs ka hai zikr kya
liya gar hasinon ne mol bhi mujhe sadqa kar ke uDa diya
mera garche 'aughaT' nam hai par karam hai 'waris'-e-pak ka
zahe-shan dam mein ghani kiya ki gada se shah bana diya
- Book : Faizan-e-Warsi Al-Maruf Zamzama-e-Qawwali (Pg. 11)
- Author : Aughat Shah Warsi
- Publication : Jayyad Barqi Press, Delhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.