merī tauba merī tauba
merī tauba merī tauba
tū mu'āf karegā mere saare gunāh
merī tauba merī tauba
mujhe mā'lūm hai mujrim huuñ maiñ aur tū merā hākim
jabhī to aaj merī aañkh meñ ashkoñ kī hai rim-jhim
koī banda tere dar par jo aañsū rol detā hai
mire maulā dar-e-tauba tū us par khol detā hai
tū zarūr sunegā mere dil kī sadā
merī tauba merī tauba
tere dar par kyuuñ na maiñ savāl karūñ tū rahīm bhī hai to karīm bhī hai
maiñ to past bhī huuñ maiñ haqīr huuñ tū buland bhī hai tū 'azīm bhī hai
jo maiñ jhel chukā huuñ vo bahut hai sazā
merī tauba merī tauba
ġham kā maarā huuñ be-sahārā huuñ huuñ burā yā bhalā tumhārā huuñ
merī tauba merī tauba
mere gunāh ziyāda haiñ yā terī rahmat
karīm tū hī batā de hisāb kar ke mujhe
merī tauba merī tauba
mujhe kar de mu'āf apne rasūl-e-pāk ke sadqe
ḳhatā.eñ baḳhsh de merī shah-e-laulāk ke sadqe
mere mālik duhā.ī hai tujhe āl-e-payambar kī
rihā kar de ġhamoñ se karbalā kī ḳhaak ke sadqe
añdheroñ meñ mujhe tābindagī de-de mere maulā
nayā mujh ko shu.ūr-e-zindagī de-de mire maulā
merī tauba merī tauba
meri tauba meri tauba
meri tauba meri tauba
tu mu'af karega mere sare gunah
meri tauba meri tauba
mujhe ma'lum hai mujrim hun main aur tu mera hakim
jabhi to aaj meri aankh mein ashkon ki hai rim-jhim
koi banda tere dar par jo aansu rol deta hai
mere maula dar-e-tauba tu us par khol deta hai
tu zarur sunega mere dil ki sada
meri tauba meri tauba
tere dar par kyun na main sawal karun tu rahim bhi hai to karim bhi hai
main to past bhi hun main haqir hun tu buland bhi hai tu 'azim bhi hai
jo main jhel chuka hun wo bahut hai saza
meri tauba meri tauba
gham ka mara hun be-sahaara hun hun bura ya bhala tumhaara hun
meri tauba meri tauba
mere gunah ziyaada hain ya teri rahmat
karim tu hi bata de hisab kar ke mujhe
meri tauba meri tauba
mujhe kar de mu'af apne rasul-e-pak ke sadqe
KHataen baKHsh de meri shah-e-laulak ke sadqe
mere malik duhai hai tujhe aal-e-payambar ki
riha kar de ghamon se karbala ki KHak ke sadqe
andheron mein mujhe tabindagi de-de mere maula
naya mujh ko shuur-e-zindagi de-de mere maula
meri tauba meri tauba
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.