Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

meri TikTiki salamat mera yar samne hai

Azizuddin Rizwan Qadri

meri TikTiki salamat mera yar samne hai

Azizuddin Rizwan Qadri

MORE BYAzizuddin Rizwan Qadri

    merī TikTikī salāmat merā yaar sāmne hai

    jo ḳhizāñ muñh na dekhe vo bahār sāmne hai

    maiñ huuñ jāñ-nisār un par vo haiñ jāñ-nisār mujh par

    kyuuñ na jāñ-nisār kar duuñ jāñ-nisār sāmne hai

    karūñ kis taraf maiñ sajda mere chau-taraf hai qibla

    maiñ jidhar bhī sar jhukā.ūñ merā yaar sāmne hai

    vahī naar mujassam hai hazār jis pe lā'nat

    na kiyā jo ham ko sajda vahī naar sāmne hai

    kabhī 'arsh merā maskan kabhī farsh merā āñgan

    kabhī jiit sāmne hai kabhī haar sāmne hai

    mere aage jannatoñ kabhī tazkira na karnā

    ki fidā hai jis pe jannat vo dayār sāmne hai

    merā 'ilm us jagah par mujhe ke chhoḌā 'rizvāñ'

    na chaḌhāv sāmne hai na utaar sāmne hai

    meri TikTiki salamat mera yar samne hai

    jo KHizan ka munh na dekhe wo bahaar samne hai

    main hun jaan-nisar un par wo hain jaan-nisar mujh par

    kyun na jaan-nisar kar dun jaan-nisar samne hai

    karun kis taraf main sajda mere chau-taraf hai qibla

    main jidhar bhi sar jhukaun mera yar samne hai

    wahi nar ka mujassam hai hazar jis pe la'nat

    na kiya jo hum ko sajda wahi nar samne hai

    kabhi 'arsh mera maskan kabhi farsh mera aangan

    kabhi jit samne hai kabhi haar samne hai

    mere aage jannaton ka kabhi tazkira na karna

    ki fida hai jis pe jannat wo dayar samne hai

    mera 'ilm us jagah par mujhe la ke chhoDa 'rizwan'

    na chaDhaw samne hai na utar samne hai

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Unknown

    Unknown

    Source :
    • Book : Al-kabeer
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now