nazar wo hoke tera husn ru-ba-ru aae
nazar vo hoke tirā husn rū-ba-rū aa.e
jidhar bhī dekho nazar sirf tū hī tū aa.e
terī sifāt kā ā.īna ho merī hastī
terā jamāl terā rañg terī bū aa.e
zabāñ se nikle mirī lā-ilāhā il-lallāh
to qalb se merī āvāz allāh aa.e
sar-e-niyāz jhuke merā sar tere qadmoñ par
jabīñ ko merī jo sajde kī āvāz aa.e
nigāh-e-dil ko banā pahle diid ke qābil
'ajab nahīñ vo nazar tujh ko chār-sū aa.e
tamām 'umr qazā ho to ho namāz magar
nazar ḳhatā na ho jab yaar rū-ba-rū aa.e
kisī kā naam sunā sar jhukā diyā 'sālik'
ḳhulūs-e-sajde kī rakhne vo aabrū aa.e
nazar wo hoke tera husn ru-ba-ru aae
jidhar bhi dekho nazar sirf tu hi tu aae
teri sifat ka aaina ho meri hasti
tera jamal tera rang teri bu aae
zaban se nikle meri la-ilaha il-lallah
to qalb se meri aawaz allah aae
sar-e-niyaz jhuke mera sar tere qadmon par
jabin ko meri jo sajde ki aawaz aae
nigah-e-dil ko bana pahle did ke qabil
'ajab nahin wo nazar tujh ko chaar-su aae
tamam 'umr qaza ho to ho namaz magar
nazar KHata na ho jab yar ru-ba-ru aae
kisi ka nam suna sar jhuka diya 'salik'
KHulus-e-sajde ki rakhne wo aabru aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.