Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

main wahdat ka parda hun al-hamdu-lillah

Mir Farkhunda Ali

main wahdat ka parda hun al-hamdu-lillah

Mir Farkhunda Ali

MORE BYMir Farkhunda Ali

    maiñ vahdat parda huuñ al-hamdu-lillāh

    ahad ḳhulāsa huuñ al-hamdu-lillāh

    usī ko hotā hai iz.hār-e-vahdat

    jo maujūd har-jā hoñ al-hamdu-lillāh

    gumāñ terā mujh par kare kyuuñ na 'ālam

    maiñ terā sarāpā huuñ al-hamdu-lillāh

    merī shakl jab se banī shakl terī

    fidā ḳhud pe hotā huuñ al-hamdu-lillāh

    maiñ ḳhud dil ko apne kā'ba samajh kar

    tavāf us karatā huuñ al-hamdu-lillāh

    maiñ rahtā huuñ har aañkh meñ nuur ban kar

    maiñ har dil meñ rahtā huuñ al-hamdu-lillāh

    farishtoñ ne aadam ko sajda kiyā jab

    to maiñ vaj.h-e-sajda huuñ al-hamdu-lillāh

    maiñ bil-mā'nī meñ kyā huuñ ye mujh se pūchho

    ba-zāhir maiñ banda huuñ al-hamdu-lillāh

    karam hai ye mirzā vallāh 'sālik'

    jo man kunto maulā huuñ al-hamdu-lillāh

    main wahdat ka parda hun al-hamdu-lillah

    ahad ka KHulasa hun al-hamdu-lillah

    usi ko hota hai izhaar-e-wahdat

    jo maujud har-ja hon al-hamdu-lillah

    guman tera mujh par kare kyun na 'alam

    main tera sarapa hun al-hamdu-lillah

    meri shakl jab se bani shakl teri

    fida KHud pe hota hun al-hamdu-lillah

    main KHud dil ko apne ka'ba samajh kar

    tawaf us ka karata hun al-hamdu-lillah

    main rahta hun har aankh mein nur ban kar

    main har dil mein rahta hun al-hamdu-lillah

    farishton ne aadam ko sajda kiya jab

    to main wajh-e-sajda hun al-hamdu-lillah

    main bil-ma'ni mein kya hun ye mujh se puchho

    ba-zahir main banda hun al-hamdu-lillah

    karam hai ye mirza ka wallah 'salik'

    jo man kunto maula hun al-hamdu-lillah

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Unknown

    Unknown

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now