meri aarzu mera muddaa koi aur is ke siwa nahin
mirī aarzū mirā mudda.ā koī aur is ke sivā nahīñ
ġham-e-yār hai to jahān hai mujhe kyā kamī mujhe kyā nahīñ
tirī be-niyāzī kā fitna-gar mujhe tujh se koī gila nahīñ
tū hazār baar judā rahe tirī yaad dil se judā nahīñ
ye kahāñ kā rog hai kyā kahūñ mire dil ko chain zarā nahīñ
vo mileñ to koī maraz nahīñ na mileñ to koī davā nahīñ
nahīñ farq zāt-o-sifāt meñ ki sifāt jam.a haiñ zaat meñ
maiñ kahīñ bhī us se alag nahīñ vo kahīñ bhī mujh se judā nahīñ
tire haath merī fanā baqā tire haath merī sazā jaza
mujhe naaz hai ki tire sivā koī aur merā ḳhudā nahīñ
vahī unkī shoḳh-e-tajalliyāñ vahī 'kāmil' aur vahī bijliyāñ
kahe kaun kyā haiñ ye shoḳhiyāñ ki majāl-e-chūñ-o-chrā nahīñ
meri aarzu mera muddaa koi aur is ke siwa nahin
gham-e-yar hai to jahan hai mujhe kya kami mujhe kya nahin
teri be-niyazi ka fitna-gar mujhe tujh se koi gila nahin
tu hazar bar juda rahe teri yaad dil se juda nahin
ye kahan ka rog hai kya kahun mere dil ko chain zara nahin
wo milen to koi maraz nahin na milen to koi dawa nahin
nahin farq zat-o-sifat mein ki sifat jama hain zat mein
main kahin bhi us se alag nahin wo kahin bhi mujh se juda nahin
tere hath meri fana baqa tere hath meri saza jaza
mujhe naz hai ki tere siwa koi aur mera KHuda nahin
wahi unki shoKH-e-tajalliyan wahi 'kaamil' aur wahi bijliyan
kahe kaun kya hain ye shoKHiyan ki majal-e-chun-o-chra nahin
- Book : Surood-e-Ruhani (Pg. 259)
- Edition : Second
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.