meri zindagi to firaq hai wo azal se dil mein makin sahi
meri zindagi to firaq hai wo azal se dil mein makin sahi
Pir Naseeruddin Naseer
MORE BYPir Naseeruddin Naseer
mirī zindagī to firāq hai vo azal se dil meñ makīñ sahī
vo nigāh-e-shauq se duur haiñ rag-e-jāñ se laakh qarīñ sahī
hameñ jaan denī hai ek din vo kisī tarh vo kahīñ sahī
hameñ aap khīñche daar par jo nahīñ koī to hamīñ sahī
ġham-e-zindagī se farār kyā ye sukūn kyuuñ ye qarār kyā
ġham-e-zindagī bhī hai zindagī jo nahīñ ḳhushī to nahīñ sahī
sar-e-tūr ho sar-e-hashr ho hameñ intizār qubūl hai
vo kabhī mileñ vo kahīñ mileñ vo kabhī sahī vo kahīñ sahī
na ho un pe jo mirā bas nahīñ ki ye 'āshiqī hai havas nahīñ
maiñ unhīñ kā thā maiñ unhīñ kā huuñ vo mire nahīñ to nahīñ sahī
mujhe baiThne kī jagah mile mirī aarzū kā bharam rahe
tirī anjuman meñ agar nahīñ tirī anjuman ke qarīñ sahī
tire vāste hai ye vaqf-e-sar rahe tā-abad tirā sañg-e-dar
koī sajda-rez na ho sake to na ho mirī hī jabīñ sahī
mirī zindagī kā naqīb hai nahīñ duur mujh se qarīb hai
mujhe us kā ġham to nasīb hai vo agar nahīñ to nahīñ sahī
jo ho faisla vo sunā.iye use hashr par na uThā.iye
jo kareñge aap sitam vahāñ vo abhī sahī vo yahīñ sahī
use dekhne kī jo lau lagī to 'nasīr' dekh hī leñge ham
vo hazār aañkh se duur ho vo hazār parda-nashīñ sahī
meri zindagi to firaq hai wo azal se dil mein makin sahi
wo nigah-e-shauq se dur hain rag-e-jaan se lakh qarin sahi
hamein jaan deni hai ek din wo kisi tarh wo kahin sahi
hamein aap khinche dar par jo nahin koi to hamin sahi
gham-e-zindagi se farar kya ye sukun kyun ye qarar kya
gham-e-zindagi bhi hai zindagi jo nahin KHushi to nahin sahi
sar-e-tur ho sar-e-hashr ho hamein intizar qubul hai
wo kabhi milen wo kahin milen wo kabhi sahi wo kahin sahi
na ho un pe jo mera bas nahin ki ye 'ashiqi hai hawas nahin
main unhin ka tha main unhin ka hun wo mere nahin to nahin sahi
mujhe baiThne ki jagah mile meri aarzu ka bharam rahe
teri anjuman mein agar nahin teri anjuman ke qarin sahi
tere waste hai ye waqf-e-sar rahe ta-abad tera sang-e-dar
koi sajda-rez na ho sake to na ho meri hi jabin sahi
meri zindagi ka naqib hai nahin dur mujh se qarib hai
mujhe us ka gham to nasib hai wo agar nahin to nahin sahi
jo ho faisla wo sunaiye use hashr par na uThaiye
jo karenge aap sitam wahan wo abhi sahi wo yahin sahi
use dekhne ki jo lau lagi to 'nasir' dekh hi lenge hum
wo hazar aankh se dur ho wo hazar parda-nashin sahi
- Book : Paiman-e-Shab (Pg. 246)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.