shakl āñkhoñ meñ mirī jalva-numā kis kī hai
parda-e-dil se jo niklī ye sadā kis kī hai
husn kā kis ke zamāna meñ hai shohra har sū
chaar jānib jo bañdhī hai vo havā kis kī hai
nā-rasā hai jo hamesha vo hai naala kis kā
jo ki mahrūm asar hai vo du'ā kis kī hai
lo vo phir aīña-e-teġh meñ muñh dekhte haiñ
nahīñ ma.alūm ki ab aaj qazā kis kī hai
ġhash kareñ sun ke agar tuur pe bhī hoñ muusā
aisī taqdīr bhalā hosh-rubā kis kī hai
maraz-e-ishq meñ jab kaam na aayā apne
aap kā dard phir ai jaan davā kis kī hai
ye na socho ki kahāñ hai mire 'āshiq kā mazār
pahle dekho ki ye turbat tah-e-pā kis kī hai
dīda-o-dil ko maiñ duuñ husn-parastī kī sazā
ye to sābit ho ki donoñ meñ ḳhatā kis kī hai
be-ḳhudī meñ vo dar-e-yār pe kahnā merā
jo abhī kaan meñ aa.ī ye sadā kis kī hai
kis kā qāmat hai vo sadqe ho qiyāmat jis par
jaan de jis pe qazā ḳhud vo adā kis kī hai
turbat-e-qais se aatī hai ye āvāz hunūz
mere pahlū meñ jo ḳhālī hai ye jā kis kī hai
sajda karne ko dar-e-yār pe pahūñchī ai 'ashk'
aisī taqdīr zamāne meñ rasā kis kī hai
shakl aankhon mein meri jalwa-numa kis ki hai
parda-e-dil se jo nikli ye sada kis ki hai
husn ka kis ke zamana mein hai shohra har su
chaar jaanib jo bandhi hai wo hawa kis ki hai
na-rasa hai jo hamesha wo hai nala kis ka
jo ki mahrūm asar hai wo du'a kis ki hai
lo wo phir aina-e-tegh mein munh dekhte hain
nahin malum ki ab aaj qaza kis ki hai
ghash karen sun ke agar tur pe bhi hon musa
aisi taqdir bhala hosh-ruba kis ki hai
maraz-e-ishq mein jab kaam na aaya apne
aap ka dard phir ai jaan dawa kis ki hai
ye na socho ki kahan hai mere 'ashiq ka mazar
pahle dekho ki ye turbat tah-e-pa kis ki hai
dida-o-dil ko main dun husn-parasti ki saza
ye to sabit ho ki donon mein KHata kis ki hai
be-KHudi mein wo dar-e-yar pe kahna mera
jo abhi kan mein aai ye sada kis ki hai
kis ka qamat hai wo sadqe ho qiyamat jis par
jaan de jis pe qaza KHud wo ada kis ki hai
turbat-e-qais se aati hai ye aawaz hunuz
mere pahlu mein jo KHali hai ye ja kis ki hai
sajda karne ko dar-e-yar pe pahunchi ai 'ashk'
aisi taqdir zamane mein rasa kis ki hai
Source :
- Book : Naghma-e-Sheeri'n (Pg. 18)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.