Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

kal ke liye kar aaj na KHissat sharab mein

Mirza Ghalib

kal ke liye kar aaj na KHissat sharab mein

Mirza Ghalib

MORE BYMirza Ghalib

    kal ke liye kar aaj na ḳhissat sharāb meñ

    ye sū-e-zan hai sāqī-e-kausar ke baab meñ

    haiñ aaj kyuuñ zalīl ki kal tak na thī pasand

    gustāḳhī-e-farishta hamārī janāb meñ

    jaañ kyuuñ nikalne lagtī hai tan se dam-e-sama.a

    gar vo sadā samā.ī hai chañg-o-rubāb meñ

    meñ hai raḳhsh-e-'umr kahāñ dekhiye thame

    ne haath baag par hai na hai rikāb meñ

    utnā mujh ko apnī haqīqat se bu’ad hai

    jitnā ki vahm-e-ġhair se huuñ pech-o-tāb maiñ

    asl-e-shuhūd-o-shāhid-o-mash.hūd ek hai

    hairāñ huuñ phir mushāhida hai kis hisāb meñ

    hai mushtamil numūd-e-suvar par vajūd-e-bahar

    yaañ kyā dharā hai qatra-o-mauj-o-habāb meñ

    sharm ik adā-e-nāz hai apne se sahī

    haiñ kitne be-hijāb ki haiñ yuuñ hijāb meñ

    ārā.ish-e-jamāl se fāriġh nahīñ hanūz

    pesh-e-nazar hai ā.īna daa.im naqāb meñ

    hai ġhaib-e-ġhaib jis ko samajhte haiñ ham shuhūd

    haiñ ḳhvāb meñ hunūz jo jaage haiñ ḳhvāb meñ

    'ġhālib' nadīm-e-dost se aatī hai bū-e-dost

    mashġhūl-e-haq huuñ bandagi-e-bū-turāb meñ

    kal ke liye kar aaj na KHissat sharab mein

    ye su-e-zan hai saqi-e-kausar ke bab mein

    hain aaj kyun zalil ki kal tak na thi pasand

    gustaKHi-e-farishta hamari janab mein

    jaan kyun nikalne lagti hai tan se dam-e-sama

    gar wo sada samai hai chang-o-rubab mein

    ru mein hai raKHsh-e-'umr kahan dekhiye thame

    ne hath bag par hai na pa hai rikab mein

    utna hi mujh ko apni haqiqat se bu’ad hai

    jitna ki wahm-e-ghair se hun pech-o-tab main

    asl-e-shuhud-o-shahid-o-mashhud ek hai

    hairan hun phir mushahida hai kis hisab mein

    hai mushtamil numud-e-suwar par wajud-e-bahar

    yan kya dhara hai qatra-o-mauj-o-habab mein

    sharm ek ada-e-naz hai apne hi se sahi

    hain kitne be-hijab ki hain yun hijab mein

    aaraish-e-jamal se farigh nahin hanuz

    pesh-e-nazar hai aaina daim naqab mein

    hai ghaib-e-ghaib jis ko samajhte hain hum shuhud

    hain KHwab mein hunuz jo jage hain KHwab mein

    'ghaalib' nadim-e-dost se aati hai bu-e-dost

    mashghul-e-haq hun bandagi-e-bu-turab mein

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now