gar na andoh-e-shab-e-furqat bayan ho jaega
gar na andoh-e-shab-e-furqat bayāñ ho jā.egā
be-takalluf dāġh-e-mah mohr-e-dahāñ ho jā.egā
zohra gar aisā hī shām-e-hijr meñ hotā hai aab
partav-e-mahtāb sail-e-ḳhānumāñ ho jā.egā
le to luuñ sote meñ us ke paañv kā bosa magar
aisī bātoñ se vo kāfir bad-gumāñ ho jā.egā
dil ko ham sarf-e-vafā samjhe the kyā ma.alūm thā
ya.anī ye pahle hī nazr-e-imtihāñ ho jā.egā
sab ke dil meñ hai jagah merī jo tū raazī huā
mujh pe goyā ik zamāna mehrbāñ ho jā.egā
gar nigāh-e-garm farmātī rahe ta’alīm-e-zabt
sho.ala ḳhas meñ jaise ḳhūn-e-rag meñ nihāñ ho jā.egā
baaġh meñ mujh ko na le jā varna mere haal par
har gul-e-tar ek chashm-e-ḳhūñ-fishāñ ho jā.egā
vaa.e gar merā tirā insāf mahshar meñ na ho
ab talak to ye tavaqqo.a thī ki vaañ ho jā.egā
gar na andoh-e-shab-e-furqat bayan ho jaega
be-takalluf dagh-e-mah mohr-e-dahan ho jaega
zohra gar aisa hi sham-e-hijr mein hota hai aab
partaw-e-mahtab sail-e-KHanuman ho jaega
le to lun sote mein us ke panw ka bosa magar
aisi baaton se wo kafir bad-guman ho jaega
dil ko hum sarf-e-wafa samjhe the kya malum tha
yani ye pahle hi nazr-e-imtihan ho jaega
sab ke dil mein hai jagah meri jo tu raazi hua
mujh pe goya ek zamana mehrban ho jaega
gar nigah-e-garm farmati rahe ta’alim-e-zabt
shoala KHas mein jaise KHun-e-rag mein nihan ho jaega
bagh mein mujh ko na le ja warna mere haal par
har gul-e-tar ek chashm-e-KHun-fishan ho jaega
wae gar mera tera insaf mahshar mein na ho
ab talak to ye tawaqqoa thi ki wan ho jaega
- Book : Asli Guldasta-e-Qawwali (Pg. 28)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.