pahle na uDaya kisi bekas ke jigar ko
pahle na uDaya kisi bekas ke jigar ko
Mirza Qadir Bakhsh Sabir
MORE BYMirza Qadir Bakhsh Sabir
pahle na uḌāyā kisī bekas ke jigar ko
par ham ne lagā.e haiñ tire tīr-e-nazar ko
hai tīr-e-nigah-e-bazm-e-'adū meñ mirī jānib
ġhusse meñ chhupāyā hai mohabbat kī nazar ko
kuchh baal safed un ke javānī meñ nahīñ haiñ
chhiḌkā shab-e-daijūr pe hai nuur sahar ko
kyuuñ ātish-e-gul baaġh meñ hai tez ki ham aap
uTh jā.eñge ai shabnam-e-shādāb sahar ko
din-rāt kā farq un kī mohabbat meñ hai ab to
va.ada to kyā shaam kā aur aa.e sahar ko
dil chiiz hai kyā jaan bhī duuñ 'ishq ko 'sābir'
maiñ naf samajhtā huuñ mudām aise zarar ko
pahle na uDaya kisi bekas ke jigar ko
par hum ne lagae hain tere tir-e-nazar ko
hai tir-e-nigah-e-bazm-e-'adu mein meri jaanib
ghusse mein chhupaya hai mohabbat ki nazar ko
kuchh baal safed un ke jawani mein nahin hain
chhiDka shab-e-daijur pe hai nur sahar ko
kyun aatish-e-gul bagh mein hai tez ki hum aap
uTh jaenge ai shabnam-e-shadab sahar ko
din-raat ka farq un ki mohabbat mein hai ab to
wada to kya sham ka aur aae sahar ko
dil chiz hai kya jaan bhi dun 'ishq ko 'sabir'
main naf samajhta hun mudam aise zarar ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.