hijr mein chhuT gaya KHun-e-jigar khane se
hijr mein chhuT gaya KHun-e-jigar khane se
Mirza Qadir Bakhsh Sabir
MORE BYMirza Qadir Bakhsh Sabir
hijr meñ chhūT gayā ḳhūn-e-jigar khāne se
zindagī ho ga.ī goyā mirī mar jaane se
rind vo huuñ ki mirī ḳhaak se ḳhum bante haiñ
paañv mar kar bhī nikaltā nahīñ mai-ḳhāne se
sab ko tuune mai-e-dīdār pilā.ī saaqī
ek mahrūm hamīñ jaate haiñ mai-ḳhāne se
mujh se dīvāne ko samjhāte ho nāseh samjho
us ko samjhāo samajh jaa.e jo samjhāne se
fasl kyā phir nahīñ aane kī junūñ kī 'sābir'
aap ke din ko chale shahr meñ vīrāne se
hijr mein chhuT gaya KHun-e-jigar khane se
zindagi ho gai goya meri mar jaane se
rind wo hun ki meri KHak se KHum bante hain
panw mar kar bhi nikalta nahin mai-KHane se
sab ko tune mai-e-didar pilai saqi
ek mahrum hamin jate hain mai-KHane se
mujh se diwane ko samjhate ho naseh samjho
us ko samjhao samajh jae jo samjhane se
fasl kya phir nahin aane ki junun ki 'sabir'
aap ke din ko chale shahr mein virane se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.