jo dil ko mohabbat ke maze aae hue hain
jo dil ko mohabbat ke maze aae hue hain
Mirza Qadir Bakhsh Sabir
MORE BYMirza Qadir Bakhsh Sabir
jo dil ko mohabbat ke maze aa.e hue haiñ
vo apnī tabī'at pe abhī chhā.e hue haiñ
har baat pe iz.hār-e-nazākat hai hayā se
sābit hai ki taklīf bhī kuchh paa.e hue haiñ
kuchh tum ne hameñ dil meñ samajh rakhā hai samjho
kuchh ham bhī tumheñ zehn meñ Thahrā.e hue haiñ
phir milne ko jī chāhtā hai yaar kā ham se
nā-chār haiñ ġhussa meñ qasam khaa.e hue haiñ
allāh rī zid koThe ke chaḌhne ko kiyā tark
jis raaz se ham yaar ke ham-sā.e hue haiñ
ab dil ko lagāte haiñ zarā soch samajh kar
do-chār jagah pahle jo zak paa.e hue haiñ
kuchh dar pe jhukā.e hue sar baiThe haiñ 'sābir'
is bazm se shāyad ki nikalvā.e hue haiñ
jo dil ko mohabbat ke maze aae hue hain
wo apni tabi'at pe abhi chhae hue hain
har baat pe izhaar-e-nazakat hai haya se
sabit hai ki taklif bhi kuchh pae hue hain
kuchh tum ne hamein dil mein samajh rakha hai samjho
kuchh hum bhi tumhein zehn mein Thahrae hue hain
phir milne ko ji chahta hai yar ka hum se
na-chaar hain ghussa mein qasam khae hue hain
allah ri zid koThe ke chaDhne ko kiya tark
jis raaz se hum yar ke ham-sae hue hain
ab dil ko lagate hain zara soch samajh kar
do-chaar jagah pahle jo zak pae hue hain
kuchh dar pe jhukae hue sar baiThe hain 'sabir'
is bazm se shayad ki nikalwae hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.