tere jalwe ki baDhti hai latafat chashm-e-giryan mein
tere jalwe ki baDhti hai latafat chashm-e-giryan mein
Mirza Qadir Bakhsh Sabir
MORE BYMirza Qadir Bakhsh Sabir
tire jalve kī baḌhtī hai latāfat chashm-e-giryāñ meñ
ki ghul kar ashk meñ chhuptā hai vo dāmān-e-mizhgāñ meñ
huā dhokā jo dekhī sabz-qindīl un ke aivāñ meñ
ki sabzī halkī-halkī hai ziyā-e-māh-e-tābāñ meñ
chhupā rakheñge dāġh-e-sīna ko ham vasl-e-jānāñ meñ
ki misl-e-sub.h ik ḳhurshīd rakhte haiñ garebāñ meñ
kabhī tār-e-qafas kaTtā nahīñ shahbā-e-hijrāñ meñ
na.e jauhar haiñ ai qātil mirī teġh-e-garebāñ meñ
paḌho 'sābir' koī aisī ġhazal bazm-e-suḳhan-dāñ meñ
ki aisā koī guldasta na ho gulzār-e-rizvāñ meñ
tere jalwe ki baDhti hai latafat chashm-e-giryan mein
ki ghul kar ashk mein chhupta hai wo daman-e-mizhgan mein
hua dhoka jo dekhi sabz-qindil un ke aiwan mein
ki sabzi halki-halki hai ziya-e-mah-e-taban mein
chhupa rakhenge dagh-e-sina ko hum wasl-e-jaanan mein
ki misl-e-subh ek KHurshid rakhte hain gareban mein
kabhi tar-e-qafas kaTta nahin shahba-e-hijran mein
nae jauhar hain ai qatil meri tegh-e-gareban mein
paDho 'sabir' koi aisi ghazal bazm-e-suKHan-dan mein
ki aisa koi guldasta na ho gulzar-e-rizwan mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.