mohabbat nahin to jiya jae na
mohabbat nahīñ to jiyā jaa.e nā
ye dukh zindagī kā uThā jaa.e nā
sambhal kar zabāñ kholnī chāhiye
koī dil kī bātoñ ko pā jaa.e nā
bharī bazm se uTh ke jaanā tirā
kahīñ dil kisī kā biThā jaa.e nā
mirā ek sajda to ho chain kā
ḳhudā hī jo Thahrā ḳhud aa jaa.e nā
mohabbat ke aañsū haiñ pī jā.iye
kahīñ koī tūfān aa jaa.e nā
agar jaan tak jaa.e jaane bhī do
magar apne ghar se piyā jaa.e nā
karūñ kyā mire bas meñ kuchh bhī nahīñ
dar-e-yār se to uThā jaa.e nā
maiñ ḳhuddār fitrat se majbūr huuñ
kisī kā sahārā liyā jaa.e nā
vafāoñ pe apnī jise naaz hai
zarā sāmne mere aa jaaye nā
maiñ harf-e-ġhalat huuñ to yuuñ bhī sahī
bhalā koī 'kāmil' miTā jaa.e nā
mohabbat nahin to jiya jae na
ye dukh zindagi ka uTha jae na
sambhal kar zaban kholni chahiye
koi dil ki baaton ko pa jae na
bhari bazm se uTh ke jaana tera
kahin dil kisi ka biTha jae na
mera ek sajda to ho chain ka
KHuda hi jo Thahra KHud aa jae na
mohabbat ke aansu hain pi jaiye
kahin koi tufan aa jae na
agar jaan tak jae jaane bhi do
magar apne ghar se piya jae na
karun kya mere bas mein kuchh bhi nahin
dar-e-yar se to uTha jae na
main KHuddar fitrat se majbur hun
kisi ka sahaara liya jae na
wafaon pe apnī jise naz hai
zara samne mere aa jaye na
main harf-e-ghalat hun to yun bhi sahi
bhala koi 'kaamil' miTa jae na
- Book : Wardat-e-Kamil Diwan-e-Kamil (Pg. 40)
- Author : Kamil Shattari
- Publication : Kamil Academy (1962)
- Edition : 4th
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.